शुक्रवार, 30 सितंबर 2011

कथा नुमा

* कथा :- [झंडू बाम ]
- तुम्हारी शादी हुयी ?
_ हाँ ?
- पत्नी कहाँ है ?
- मेरे साथ ।
- कभी दावत दो तो हम भी देखें ।
- दावत की क्या ज़रूरत , लो अभी देखो ।
और उसने जेब से एक शीशी निकाल ली ।
- यह क्या है ?
- यही है मेरी बीवी । मेरे लिए यह झंडू बाम हो गयी है । #
###

कहानी शुरू

कथा भूमि :-
हा ! हा ! हा !
============
- पापा , इस नौकरी के लिए मेरा चयन नहीं हुआ । हा ! हा ! हा !
- मैंने तो पहले ही कहा था ,बेटा । हा ! हा ! हा !
[वे दलित थे , या मुस्लिम ,या गरीब देहाती , बिना पैसे व पहुँच वाले लोग , और उन्हें पाता था या भ्रम था कि नौकरी के लिए गुण के अतिरिक्त बहुत सारी चीज़ें ज़रूरी होती हैं , जो उनके पास नहीं थे । इसलिए वे जॉब न मिलने के प्रति आश्वस्त थे और थे मजाकिया रूप से खुश -प्रसन्न । ]
आज सुबह पुत्री फिर एक साक्षात्कार के लिए जा रही है ।
पापा :- जाओ , लेकिन जान लो होना नहीं है । हा ! हा ! हा !
बेटी :- कोई बात नहीं पापा , घर तो है न लौटने के लिए , हा ! हा ! हा !
। ।
फिर किसी दिन वह लौटती है ।

-
पापा ,आज तो गड़बड़ हो गया - हा ! हा ! हा !
- मिल गयी न तुझे नौकरी ! हा ! हा ! हा !
- हाँ पापा , हा ! हा ! हा !
- मैंने कहा था न ! हा ! हा ! हा !
- हा ! हा ! हा ! #
###########

राजनीतिक कविता

* वे इनका
मजाक बनाते रहे
ये उनका
मजाक बनते रहे

न उन्होंने पत्रकारिता ,
साहित्य की
ज़िम्मेदारी निभाई ,
न उन्होंने
आदरणीय की भूमिका का
निर्वाह किया ।
मीडिया और मंत्री
यह खेल खेलते रहे
प्रचार की प्रत्याशा में
और लोकतंत्र सड़ता रहा
जनता के दिमाग में । #

* जो भी चैनल चलाओ
वहीं विज्ञापन ,
विज्ञापन ही विज्ञापन ! ##

* धमाकों और पटाखों का
कोई सूत्र मिले न मिले ,
अपराधी पकडे जाँय
या साफ़ छूट जायं
बयान कितने भी आते रहें, पर
भारतीय जनमानस तो
अपने हिसाब से
अपने गलत सही अनुमान
लगा ही रहा है ,
उलटे सीधे निष्कर्ष तो
निकाल ही रहा है,
उसे कैसे रोकेंगे ?
उसका क्या कर लेंगे ?
भले उससे क्या होगा ,
वह क्या बिगाड़ लेगा
देश के दुश्मनों का ?
देश का नक्शा
बिगाड़ने वालों का ?
पर वह मन तो बना रहा है
और जनता का मन
बहुत बड़ा वस्तु होता है
वह कुछ भी कर सकता है
किसी भी समय ।
आखिर जनता तो
सर्वोच्च है न !
सरकार न सही ,
नेता न सही ,
पुलिस न सही । #
########

उदगार - विचार

* पहले अंग्रेजों को गाली देते थे ,
अब अमरीका को कोसते नहीं थकते
हम हिन्दुस्तानी , अपना दोष
दूसरों पर मढ़ने के अभ्यस्त
अपनी गंदगी दूसरों के कपड़ों पर
पोंछने में सिद्ध हस्त ।
कौन कहता है हम गुलाम थे
हमने तो सबको अपने
पैरों तले रखा - किसकी हिम्मत
जो हमें नीचा दिखा सके
सर्वोच्च हैं , रहे हैं ,
सदैव हम । #

* कुछ लोग , अति प्रबुद्ध , प्रगतिशील राष्ट्र को नहीं मानते , राष्ट्रवाद को बुरा मानते हैं । अति या उग्र राष्ट्रवाद का मैं भी समर्थक नहीं । लेकिन राष्ट्र तो यथार्थ है ? इसलिए राष्ट्र -राज्य के अस्तित्व को अपने भौतिक जीवन के लिए सहर्ष स्वीकार करता हूँ । उनसे एक प्रश्न है कि यदि यह देश , भारत न होता तो वे अल्पसंख्यक मुसलमान कहाँ होते जिनके पक्ष में वे खड़े हैं ? और वे बहू संख्यक हिन्दू कैसे होते जिनकी साम्प्रदायिकता के विरोध में वे जान लड़ाए हुए हैं ? #

झगड़ा [कविता]

* [कविता ] झगड़ा
======
मैं व्यक्तिवाद के विरोध में
व्यक्तिवादी हूँ , [मनीषावादी, मानुखवादी ,Individualist]
मैं इस्लाम के विरोध के सारे औज़ार
इस्लाम की ही झोली से निकालता हूँ
और हिंदुत्व का काँटा हिन्दुत्त्व से ,
उन्ही की किताबों , उपदेशों से
उनकी प्रशंसा कर्ता हूँ और
उन्हें उनका विकृत चेहरा भी
उन्ही के शीशे में दिखाता हूँ ।
इसीलिये , मैं मनुष्य , मानुख हूँ
कि मैं हिन्दू - मुसलमान .ईसाई ,कमुनिस्ट
सब एक साथ हूँ , और नहीं भी हूँ ।
ऐसे मनुष्य को परिभाषित करना
बहुत कठिन , लगभग असंभव है ,
मैं हूँ अपरिचित - अपरिभाषित
अलक्षित मनुष्य । #

एक बात

* - मुसलमानों के साथ रहना , गुज़र -बसर करना एक बात है । यहाँ आप जिन्ना से फर्क हो सकते हैं । लेकिन उनके साथ मिलकर राज्य चलाना संभव नहीं है । यहाँ आपको जिन्ना की बात माननी पड़ेगी । क्योंकि वे हिन्दू सांस्कृतिक राज्य नहीं मानेंगे , यह तो अलग बात है ,वे लोकतंत्र के वैश्विक नियमों को भी नहीं चलने देंगे । राज्य के रूप में तो उन्हें सिर्फ इस्लाम चाहिए । यह दिक्कत है जो भारतीय राज्य के समक्ष दरपेश है । और इससे भी विकत बात यह है कि भारतीय राजनीति और बढ़ाकू बुद्धि जीवी इस ज़मीनी सत्य को स्वीकार ही नहीं कर रहे हैं , इसका निदान क्या ढूंढेंगे !
* इन्हें इस्लाम के अतिरिक्त किसी और कि जय करना मंज़ूर नहीं । अब हिन्दुस्तान तो जैसा सेकुलर है , वह है ही । यदि इसे इस्लामी राज्य घोषित कर दिया जाय तो देखिये इनसे बड़ा देशभक्त कोई क्या होगा !
* सुब्रमणियम स्वामी ने कहा तो है कि जो मुसलमान अपने पूर्व हिन्दुत्त्व को न माने उनसे वोट देने का अधिकार छीन लिया जाना चाहिए ।लेकिन यह कैसे व्यवहारिक होगा ? क्या सभी मुस्लिमों से कोई शपथ पत्र लिया जाना संभव है ? और वे लिख कर दे भी देन तो क्या फर्क पड़ जायगा ? किस पैमाने से नापेंगे उनकी आस्था ? इसकी अपेक्षा तो मेरा ही सुझाव बेहतर है कि पूरा हिन्दुस्तान केवल दलितों को वोट करे । मुसलमान भी सहमत हों और भाजपाई हिन्दू भी । दलित तो सबसे पुराने हिन्दू हैं न स्वामी जी ? फिर क्या दिक्कत है ? मुसलमान वैसे भी छंट जायेंगे । #####

एक बात

* - मुसलमानों के साथ रहना , गुज़र -बसर करना एक बात है । यहाँ आप जिन्ना से फर्क हो सकते हैं । लेकिन उनके साथ मिलकर राज्य चलाना संभव नहीं है । यहाँ आपको जिन्ना की बात माननी पड़ेगी । क्योंकि वे हिन्दू सांस्कृतिक राज्य नहीं मानेंगे , यह तो अलग बात है ,वे लोकतंत्र के वैश्विक नियमों को भी नहीं चलने देंगे । राज्य के रूप में तो उन्हें सिर्फ इस्लाम चाहिए । यह दिक्कत है जो भारतीय राज्य के समक्ष दरपेश है । और इससे भी विकत बात यह है कि भारतीय राजनीति और बढ़ाकू बुद्धि जीवी इस ज़मीनी सत्य को स्वीकार ही नहीं कर रहे हैं , इसका निदान क्या ढूंढेंगे !
* इन्हें इस्लाम के अतिरिक्त किसी और कि जय करना मंज़ूर नहीं । अब हिन्दुस्तान तो जैसा सेकुलर है , वह है ही । यदि इसे इस्लामी राज्य घोषित कर दिया जाय तो देखिये इनसे बड़ा देशभक्त कोई क्या होगा !
* सुब्रमणियम स्वामी ने कहा तो है कि जो मुसलमान अपने पूर्व हिन्दुत्त्व को न माने उनसे वोट देने का अधिकार छीन लिया जाना चाहिए ।लेकिन यह कैसे व्यवहारिक होगा ? क्या सभी मुस्लिमों से कोई शपथ पत्र लिया जाना संभव है ? और वे लिख कर दे भी देन तो क्या फर्क पड़ जायगा ? किस पैमाने से नापेंगे उनकी आस्था ? इसकी अपेक्षा तो मेरा ही सुझाव बेहतर है कि पूरा हिन्दुस्तान केवल दलितों को वोट करे । मुसलमान भी सहमत हों और भाजपाई हिन्दू भी । दलित तो सबसे पुराने हिन्दू हैं न स्वामी जी ? फिर क्या दिक्कत है ? मुसलमान वैसे भी छंट जायेंगे । #####

तुम्हारे बिना

* [कवितायेँ ]
१ - तुम्हारे बिना
अब तुम्हारे बिना
मेरा जी नहीं लगता कही ।
अब इस बात को
मैं कविता बनाकर
नहीं कह सकता ,
कविता बनानी ही आती तो
मैं जी न गया होता
तुम्हारे बिना !
जी नहीं पा रहा हूँ मैं
तुम्हारे बिना । #

२ - बदनाम होने का क्या
वह तो किसी भी कामपर
हो सकते हो ,
अच्छा काम करने पर भी । #

३ - मानो तो देव
नहीं तो पत्थर ,
किसी ने आज तक
उसे पत्थर माना हो
तो बताइए ! #

४ - मैं मिट्टी हूँ
मैं आकार में हूँ ।
यदि तुम मिट्टी की मूर्ति से
शिला - अहिल्या से
प्यार कर सको तो
मेरे पास आओ
मैं तुम्हे स्वीकार करूंगी
लेकिन तुम
मिट्टी की तरह नहीं
एक मनुष्य की तरह
मुझे प्यार करो । #

५ - मै हूँ तुम्हारे
बुरे दिनों का साथी
तुम्हारी ख़ुशी का
मैं हिस्सेदार नहीं ।
खुदा करे -
न बुरे दिवस आयें
तुम्हारे पास
न मैं आऊँ । ##
######

गुरुवार, 29 सितंबर 2011

विचारार्थ

१ - यह तो खैर मैं काल्पनिक अनुमान से कह सकता हूँ की प्रेम , सचमुच प्रेम , यदि उसमे कोई स्वार्थ न तुड़ा हो , तो एक समय में कईयों के साथ किया जा सकता है । #
२ - दलित हमारे पूज्य देवता हैं और मुसलमान हमारे सम्मानित अतिथि । इनका हर प्रकार से संरक्षण और पालन होना चाहिए । # ३ - कम्पूटर ज़रूरी होता जा रहा है । यह आज़ादी है या गुलामी ? # ४ - कष्ट यह है कि मुसलमानों के साथ बात भी नहीं हो सकती । संवाद नहीं हो सकता । शास्त्रार्थ , वाद -विवाद की बात तो छोड़ ही दीजिये । # ५ - मंदिर छोटा होना चाहिए । दिल [का मंदिर ] बड़ा होना चाहिए । # ६ - मैं कथक [नृत्य ] खूब देखता हूँ । मैं उसके शास्त्र के बारे में कुछ नहीं जानता , पर उसका लय -ताल मेरी शिराओं को थिर -सामान्य ,शांत -क्रम बद्ध कर देता है । इसकी तुलना मैं कम्पूटर के एक आपेरशन से करता हूँ । जैसे यफ - ५ बटन दबाने से वह सामान्य [नार्मलाइज] हो जाता है । #
७ - कहा जाता है - फलां का देहांत हो गया है । इसका क्या मतलब ? देह तो अभी रखा हुआ है , लोग उसे देखने आ रहे हैं ! फिर किसका अंत हुआ ? इसका मतलब देह ही आत्मा है - देहात्मा । जो अभी पड़ा है वह शरीर है । उसका अंत तब होगा जब उसे मिट्टी में दबा - या अग्नि में जला दिया जायगा।# ८ - बद तो अच्छा
बदनाम बुरा है
अच्छी नीति है ?
[हाइकु ] #####

तीन कवितायेँ

* [कवितायेँ ]
१ - काम कर रहा हूँ तो
कुछ हो ही तो रहा है ,
कोई बैठा तो नहीं हूँ
हाथ पर हाथ धरे
कि कोई मेरा काम करे
या मुझसे प्यार ! #

२ - कवि तो वह जो
कविता में जिए
यह क्या कि साल में
एक कविता करके
कोई कवि बन जाये
चाहें वह कविता कितनी ही
साहित्यिक क्यों न हो ! #

३ - [हाइकु ]
यहाँ तो सब
बुद्धि का मामला है
कौन साथ दे ? #
######

रस्सी में गाँठ

* [कवितायेँ ]
१ - रस्सी में गाँठ कैसे लगती है ?
उसका एक सिरा अपने को ही लपेट कर
एक लूप बनाकर , उसमे घुसकर तन जाता है ,
और रस्सी में गाँठ लग जाती है ।
ऐसे ही जैसे ही , जितना ही ,
अपने आप में , अपने आप से एंठोगे ,
उतना ही तुम अपने को रस्सियों में बंधोगे
मन में गांठें लगाओगे ।
सरल रहो , सीधे रहो तो
कहाँ बंधन , कैसी गांठें ?
खुला , मुक्त रहो । #

२ - जैसे जैसे लोग
मेरी राह में
काँटा बोते जाते हैं
वैसे वैसे मैं
उन्हें राह से हटाने का
प्रयास करता जाता हूँ । #
######

तुम्हारे आने से पहले

* [कविता ]
तुम्हारे आने से पहले ही
तुम्हें खिलाने पिलाने की
व्यवस्था पक्की है ,
दाल भिगो दिया गया है
नमकीन ,मिठाइयाँ बनकर तैयार हैं ,
बढ़िया बासमती चावल आ गया है
सब्जियों से फ्रिज भरा है और
मसालों से मसालों का डिब्बा
बस थोड़ी हरी धनिया की पत्ती आनी है
वह नुक्कड़ से फ़ौरन आ जायगी
जब तुम आओगे ।
तुन आओ तो सही ! #

Said so -

* Humanism is a religion which is variously defined by human beings. #

* I support equality with a difference [ not ordinarily] .
मैं समानता का समर्थन एक अंतर के साथ कर्ता हूँ [साधारणता से नहीं ] । #

* मैं सोचता हूँ कह दूं कि मैं मरने के बाद भी कुछ अपने साथ लेकर जाऊँगा। वह होगी मेरी सभ्यता , मेरा शिष्टाचार । #

* आत्मा वह है जो आदमी के जिंदा रहने तक उसके शरीर में रहती है । मरने पर वह शरीर से निकल जाती है । वह अशांति रहती है । तभी तो उसकी शान्ति के लिए दुवाएँ की जाती हैं ! #

* हे हमारे दलित भाई , तुम दलित ही बने रहो । दलित बने रहोगे तो हम भी सवर्ण बने रहेंगे तुम्हारी तुलना में । तुम्हारे उलट , तुम्हारे प्रतिपक्ष में । तुम सामान्य साधारण मनुष्य , या अवर्ण -सवर्ण कुछ नहीं बनोगे तो हम सवर्ण कैसे बने रह पायेंगें ? इसलिए हे दलित भाई , तुम दलित बने रहो । इसमें तुम्हारी भलाई हो या नहीं , हमारी तो है ! #

* सुना है आप जाति छोड़ने जा रहे हैं । बड़ी अच्छी बात है । लेकिन ज़रा रुक जाइए । लड़के -लड़कियों की शादी हो जाने दीजिये ! #
########

बुद्धिवादी सलीब

* [कविता ]
जब तुम खुद अपनी मूर्खताएँ
जीना बंद कर दोगे
तब हम तुम्हारी मूर्खताएं जियेगे ।
जब हिन्दू मूर्तिपूजा बंद कर देगा
आर्य समाजी यज्ञ करना बंद कर देंगे
बौद्ध बुद्ध को , जैन अपने तीर्थंकरों की
बात नहीं मानेंगे ,
ईसाई यीशु को परमात्मा क पुत्र और
मुस्लिम मोहम्मद को सन्देश वाहक
मानना बंद कर देंगे ,
तब मैं यह सब , इन सबको
मानना शुरू कर दूंगा ,
मैं इनमे से किसी को समाप्त
होने नहीं दूंगा , अपने धरोहर को ज़िदा ,
सुरक्षित रखने क ज़िम्मा मै उठाउँगा,
तुम्हारा सलीब मैं ढोऊंगा ।
तुम चलो अपने रास्ते
तुम बुद्धिवादी बनने में भय न खाओ ,
संकोच न करो , कहीं कुछ भी
बिगड़ने न पायेगा , निश्चिन्त - बेफिक्र रहो । #

बुधवार, 28 सितंबर 2011

नए हाइकु

* सोचते नहीं
या सोच नहीं पाते
जाने क्या बात ! #

* हम क्या करें ?
लोग सोचते नहीं
तो मैं क्या करूँ ? #

* कुछ कमी है
कुछ तो कमी है ही
धर्म संस्था में ! #

* आकर्षक हैं
क्योंकि गोपनीय हैं
वे कुछ अंग । #


*
कुछ न कुछ
कुछ बात तो है ही
वह खफा हैं । #

* कविता ले लो
मुझे क्यों ले जाते हो
मंच की ओर ? #

* जितना खुश
होना चाहिए मुझे
उतना मै हूँ ,
जितना दुखी
होना चाहिए मुझे
उतना मैं हूँ । #

* साहित्यकार
क्या होता है , अगर
आदमी नहीं ! #

* मेरी बातों को
यूँ न टाल पाओगे
टालो तो देखो ! #
##########

ठग प्रेम

* प्रेम बहुत गहरे मन का ठग [फ्राड] है , इसलिए जल्दी पहचान में नहीं आता , जब तक कि आदमी बाह्य जीवन में वास्तव में ठगा नहीं जाता । #
* क्या साहित्य वही है जो लिखा जा रहा है , पुस्तकों में , पत्र - पत्रिकाओं में ? क्या ख़बरें वही हैं जो छप रही हैं अखबारों में ? गालियों , चौबारों , यात्राओं में , ढाबे - ढाबलियों पर , घरों में जो बातें हो रही हैं , साहित्य रचा जा रहा है , ख़बरें बन रही हैं , वे साहित्य नहीं हैं ? #

राज नेता

*राजनेता कुछ न करें केवल अधिकारियों पर लोकपाल की भूमिका अदा करें तो यही बहुत होगा । #

* लोग राहुल गाँधी , नरेंद्र मोदी ,नीतीश , न जाने किस -किसका नाम लेते हैं । मुझे तो वीरप्पा मोइली भारत के प्रधान मंत्री पद के लिए सबसे उपयुक्त लगते हैं । #

मंगलवार, 27 सितंबर 2011

तीन कविताएँ

* [शेर ]
मैं खुश होता हूँ जब मै अपनी गलती मान लेता हूँ ,
इसी से मैं ख़ुशी से अपनी गलती मान लेता हूँ । #

* [लिखो , लिखते क्यों नहीं ?]
लिखो कि तुम्हारी तबियत ख़राब है ,
चल फिर नहीं सकते , जुलूस में शैमिल
लेकिन लिख तो सकते हो
कितना अपराध तुमने किया
किसको कितना घूस दिया
अपना आय - व्यय , सब लिख डालो
कितना झूठ बोला - सच सच लिखो
कविता -कहानी लिखो
जनता की न सही
अपनी ही उम्मीदें , अपनी निराशा व्यक्त करो
कौन रोकता है तुम्हे डायरी लिखने से
अपने प्रेमी के नाम पत्र जैसा लिखो ,
लिखो सब , वक्त पर काम आएगा । #

* [हाइकु ]
धन्य हैं लोग
प्रयास किये जाते
जो निष्फल ही ! #
#########

अप्रिय कविताएँ

अप्रिय कवितायेँ
[एक ]
हमलावर , कुछ भाग गए ,
कुछ मरे गए ।
इस एक को हमने जिंदा पकड़ लिया
ह्मिसका क्या करें ?
सोचते है , यदि यह भी मारा गया होता तो ---
हम इसका क्या कर पाते ?
हम इसको लेकर क्यों चिंतित होते ?
पर यह तो जिंदा बच गया हमारी बंदूकों से ।
अब हम न इसे भगायेंगे , न मरेंगे
इसे हम जिंदा अपने पास रखेंगे
इसे हिन्दुस्तानी बनाएँगे ।
समस्या है , हम उनको क्या मुँह दिखाएँ
जिनके परिवारों को इसने नष्ट किया ?
हम शर्मिंदा हैं ,क्षमा प्रार्थी हैं इसके लिए
की इस एक आदमजात , मानव संतान को
हमारा धर्म इंसानियत नहीं सिखा पाया ,
इंसान नहीं बना पाया !क्यों न हम ऐसे धर्म
ऐसी शिक्षा दीक्षा -परवरिश को ही मार डालें ?
हमें नहीं चाहिए मनुष्य के लिए ऐसा ढांचा ,
लेकिन मनुष्य तो चाहिए
हम इस एक व्यक्ति को मार कर क्या पायेंगे
इसे जिंदा रखकर
शायद कुछ पायें !

शीर्षक - मजहब से घृणा करो , ऐसे मज़हब से ,
वैसे मज़हब से , सभी मज़हब से ।
थुड़ी अभियान है हमारा - मज़हब के खिलाफ
जो ऐसे इंसान बनाता है कि वह
इंसानों को मारने लगता है ।

शीर्षक -थुड़ी अभियान - मज़हब के खिलाफ
केवल एक कोर्ट नहीं
सारा देश सजा दे अजमल कसाब को
उसे मारकर नहीं
[उसे अकेला जल्लाद भी मार सकता है ]
उसके मज़हब पर थूक कर , जिससे
उसके मज़हब को भी सजा मिले और थूकने वाला
अपने भी मज़हब पर कड़ी नज़र रखे ।
यह हासिल होगा आन्दोलन का
वरना उसका मृत्यु दंड हमें कोई लाभ न देगा । #
[कसाब से समाज विज्ञानियों /एन जी ओं को यह बयान लेना चाहिए कि वह ऐसा कसे बना ? उसे ऐसा किसने बनाया ? तो उस मूल स्रोत पर भी सजा मुक़र्रर किया जाए । ]

*[दो ]
अजमल दोषी हो गया
क्योंकि वह
पकड़ में आ गया ,
और जो पकड़ में नहीं आये
वह मज़हब , वे मज़हबी
उन्हें क्या सजा दे रहे हो तुम
और तुम्हारी कचहरी ? #

* [तीन ]
अजमल तो एक खंभा है
और खिसियाने हो तुम
नोचो , खिसियानी बिल्ली !
खम्भा नोचो । #
##########

गरीबी के साथ

* गरीबी के साथ
------------
मेरा एक सिद्धांत है कि जीवन को गरीबों की तरह जियो । ज़ाहिर है , उसे जी तो पाओगे नहीं । तब तुम गरीबों का जीवन -स्तर उठाने की सोचोगे , उसके लिए प्रयास , आन्दोलन करोगे । तब तुम उनके उस नए जीवन स्तर को जीने के लिए नैतिक रूप से अधिकारी हो जाओगे । #
* विचार
--------
कहीं लोकपाल की तरह ही तो नहीं था अंग्रेजी शासन ? जिसको चाहता राजा बना देता , नहीं चाहता तो कुप्रबंधन -
अयोग्यता का आरोप लगाकर राज्य मुक्त कर देता ! बड़ोदा के मल्हार राव गायकवाड , दिल्ली के बहादुर शाह ज़फर , अवध के नवाब वाजिद अली शाह आदि अनेक उदहारण होंगे उस काल के इतिहास में । इसलिए मुझे तो दर लगने लगा है किन्ही लोकपालों से । #
* [हाइकु ]
कितना सोचूं
अपनी रुग्णता को ?
छोड़ो , जाने दो । #
########

बोलो कायस्थ

* [त्रि - हाइकु ]
मूर्खता में है
हिंदुत्व का भला या
बुद्धिमत्ता में ?
पाखंड में मुक्ति या
कला - संस्कृति -
विज्ञान की सिक्षा में ?
बोलो कायस्थ ! #

* मृत्यु का भय
लग गया , समझो
हम तो मरे । #

* [बदमाश कविता ]
मैं तुम्हारी हूँ
तुम्हारी रहूंगी ,
वह तो
इमेरजेंसी के लिए
पति पाल रखा है । #
#######

रविवार, 25 सितंबर 2011

चित्र शाला

*हिप हिप हुर्रे

एक ऐसा चित्र खींचना चाहता हूँ जिसमे दो पुट्ठे [हिप्स] दिखाई पड़ें ,और किनारे लिख दिया जाय - हुर्रे
इस प्रकार बन जाए - हिप हिप हुर्रे
* Matter for drawing = Stree apne paaon par
[woman on her high heels ]
=============================== चित्रांकन

इंडो पाक चाइना

*ON INDO _ CHINA RELATION
Yeh theek hai ki hame cheen ki bhavnaon ka khyal rakhna chahiye , dosti qayam rakhne ke liye , jaisa ki Prem Shankar Jha sujhate hain , lekin kya –
1 – cheen hamara padosi desh nahi hai , pakistan ki tarah ?
2 – padosi kya hamse irshya nahi rakh sakta ?
3 – har padosi apne pados ko saman shakti – samarthya ya samriddhivan hote dekhna chahta hai ?
4 – kya yeh sach nahi ki padosi ek sthayi dushman bhi hota hai ? baatein wh kitni meethi kare par koi padosi apne pados ki pragati , utthan nahi dekhna chahta, na pasand karta hai ?
5 – wh use hamesha kamzor rakhna chahta hai ? sambhav ho to dabakar bhi ?
6 – bhai jaise padosi ke prati bhi sawdhan –satark rahna chahiye aur uski hinsak shakti ko kabhi kamtar nahi aankna chahiye ?
In sab sachchayiyon ke sath kya bharat ka cheen se laila – majnu jaisi mohabbat rakhna uchit hai , ya swayam shaktishali ban na tatha rajnay ka prayog karke pahle apna hit siddh karna chahiye ?udarta poorvak apni zameenein aur kshetrafal saunpne me bhala kaun si bhalmansahat aur buddhi mani hai ? aur aisa karne ka kya haq hai bharat sarkar ko?janta ki nyuntam apeksha sarkaron se yhi hoti hai ki wh desh ki seemaon ko surakshit kare ydi hindustan aisa nahi kar pata hai to iski bhartsana ho aisa karke bhi wh samasya ka koi hal nahi de payega wh hamesha kamzor rahega aur dabaya jata rahega jis se wh bhavishy me aur zaminein de sake ###
Sub ; Indo-pak islam -musalman
*Ref,hindustan-20/2/11/ tareef aapki
Pakistani gayak Rahat Fateh Ali ki harkaton par pakistan ke qanoon mantri BabarAvan ne kaha hai ki jo loge seema paar pyar ke nagme gate hain , unhe yaad rakhna chahiye ki Pakistan ka vajood do rashtron ke siddhant me hi hai mohabbat ke tarane kewal manoranjan ke liye
[ aise tarane hindustan ke bhi activists gate hain , unhe bhi kuchh seekh leni chahiye ]

*Ref; jansatta 20/2/11/ sajid rasheed
1977 me Atal Behari Bajpayi Janta sarkar me videsh mantri banaye gaye aur unhone Pakistan se dosti ki pahal ki pahli baar pakistani kalakaron aur cricketaron ko Bharat aane ka avsar milayeh aur baat hai ki us samay bhi bhartiya kalakaron ko pakistan me apni kala ka pradarshan karne ka avsar nahi diya gaya

माओ वादी

*Jhuthlate hain maovadi
Ab yeh lijiye ! Aadivasi kshetron me vikas nahi pahunch paya , isliye loge aatankvadi ban gaye school nahi pahunch paya , sadakein aur aspatal nahi pahunch paaye , fir maovad jaisa ati pragatishil siddhant kaise , kis raste , kis upay-prakar se unke paas pahunch gaya ? bandookein , surangein aur atyadhunik hathiyar unke paas kaise pahunch gaye ? jinhone ise unke paas pahunchaya ,we unke paas tab vikas bhi pahuncha sakte the aisa kathin vaigyanik darshan kaise kathit agyani- andhvishwasi jan jatiyon ki samajh me itni aasani se aa gaya ? jo amuman kisi bhi bahya sanskritik ghuspaith ya hastakshep ko sweekar – bardasht nahi karte ?ydi hinsatmak maovadi aandolan unki peeda aur sarkar ki upeksha ka pratifal hai to uska naam janjateey hinsatmak andolan to ho sakta tha , yeh unke beech late shree Mao saheb apna coat pahan kar kaise pahunch gaye ? kya bhara tha unki jebon me jise dekhkar janta unpar itni mugdha ho gayi ki apne sangharsh ka naam unke naam par aur swayam ko bhi unke supurd karke apne khaq hone ki parwah na kar Maovadi ban gaye ?
Kyon jhuthlate hain apne aap ko ye ati-vampanthi loge ? kyon we is bhram me hain ki desh ki samoochi buddhi ko bharma kar apni ore kar leinge aur saare loktantrik buddhijeevi Arundhati Roy jaise aviveki ban jayenge ?#
*Communiston ne tab bhi galti ki thee jab bhartiya swatantrata ko unhone azadi nahi maani thi iska to khair baad me unhone parimarjan kar liya ab doosree galti ye ab kar rahe hain jo is langdee – loolee aazadi ki jadon me mattha dalne par tule huye hain hindustan me ,inki kuchh khubiyon ke bawjood, inka janta dwara kuchh bhi pariposhan janta ke liye ghatak ho jayega #
*Arundhati Roy
Bharat me jinki pratishtha angrezi me kiye gaye kaam ke liye videshi puraskar ke bal par arjit hui hai ,aur shahron me suvidha bhogi jeewan jee rahi hon , jab janta ka paksha lene ka natak karte hain to we vishwasneey nahi lagte albatta jab we loktantrik sarkar ko matiyamet kartee hain to vishwasneey ho jaati hain ,kyonki unka kaam hi yahi hai , unki izzat hi isee baat me hai sarkar ke jitna virodhi , utne hi we pragatishil mane jayenge yhi paribhasha ho gayi hai ab pragatishilta ka !
Par kya we samajhti hain , is tarah we vam panthi andolan ka shreya utha le ja payengi ? jee nahin , communist bahut hi chatur aur shatir hote hain pata hai aise logon ke bare me we kya khyal rakhte hain ? Roomani krantikari Tathapi we inka poora istemal apne uddeshya ke liye karte hain aur khali haddi fir sadakon par fenk dete hain fenk hi dena chahiye aise logon ki yahi niyati honi chahiye Lekin tab tak to ye loge communist ideology ko anavashyak hi surplus value se labrez kar rahe hain , aur inki chapet me chhote – chhote ya naye vicharak , buddhijeevi ,kavi-lekhak to aa hi jate hain jinhe jab tak inki vastavikta ka gyan aata hai tab tak badi der ho chuki hoti hai , isliye we aajeewan is se chipke rahne aur inka bhonpa bajane ko vivash hote hain yeh vaigyanikta ka loot ,bhrashtachar hai jise buddhijeevi gan badi safayi se badee matra me anjam de rahe hain choonki ye ye ati –kathit –shikshit aur degree dhari loge hain isliye inse nijat pana sadharan vishvasi janta ke liye bahut mushkil hota hai yeh nuksan hai in logon se is desh ko ki ye vigyag vad ke naam par andh vishwas faila rahe hain janta ke beech ###

मियां की जूती

*Miyan ki jooti
Kuchh, aur kuchh kya , tamam buddhijeevi naxalvadiyon ke liye samarthan jutane jagah –jagah sabhayein kar rahe hain , visheshkar jabse Dr vinayak sen ko saja huyi hai ,kyonki ab agli aanch un par bhi aa sakti hai ye bhi koi seedhe naxalvadi nahi hain , kewal bahr se unke samarthak hain ye kitabi loge hain aur vishwa vidyalayon tatha anya shaskiya-a shashkiya sansthaon me malayidar tabke me hain kuchh rajya prashasan ke uchch padon par baithe loge bhi is muhim me shamil hain aur internet –facebook par apna vampanthi namak halal kar rahe hain kuchh lal kitabein rakhne ke aarop me ye kisi sathi ko giraftar kiye jane ke viruddh hain isliye ,kyonki ve naxal –samarthak hain varna inhe kitabon ki , sahiyya ki , chhape huye shabdon aur prachar samagree ki akoot shakti ka poora-poora andaza hai aur iseeliye ve is kaam mein jagalon se bahar rahkar jee –jaan se jute huye hain
Aise logon se bahas nahi ki ja sakti kyonki ye dimagh se paidal ya bike huye huye dimagh wale loge hain ,bhale swekshapoorvakinka apna swatantra tarkik chintan nahi hai ye aise rationalist bhi nahi hain jo samjhane se samajh jayein ye jad –vaigyanik vichardhara ke loge hain ,use khoob parhe-likhe, bahas –vaarta me poorn patu inse aap jeet nahi sakte inse nipatne ka tariqa inhee ke siddhant se nikala ja sakta hai ye hindustan ke har------ , inke liye four-five letter words ki gaali aparyapt hai , SATTA BANDOOK KI NALI SE NIKLTI HAI ke saathi aur parokar hain inke liye, SAMAHJDARI DO_CHAR JHAPDON SE AATI HAI hi uchit samadhan hai hindi me samjhane se baat nahi banegi ,ye kranti ke fashion me choor hain fir un par laagoo kiya jane wala faisla inhi ke darshan ke anukool hai hamne ise wahin se nikala hai , to hamari kya galti hum bhi to unhi ke anuyayi huye !
Lekin inka dimag theek ho jane se bhi kya hoga !asli kaam to hai apadh bhole-bhale aadivasiyon ko naxalvadiyon ke changul se nikalna dhyan rakhein ,aadivasi kewal aadivasi hain ve naxalvadi nahi hain naxalvadi bahari log hain , kranti aur satta hathiyane ke tareekon, modern arms &ammunitions se lais aur najayaz ugahe gaye akoot dhan se paripoorn hain aadivasiyon ka hit inke agende par nahi hai unhe bas inka istemal apne chhudra sattavadi hit ke liye karna bhar hai kya hum jante nahi, visheshkar anthropologists, ki sadiyon se wahan rahne wale aadivasi us jeewan ke abhyast aur usme prafullit rahte hain , jis pichhdepan ka mudda uthakar mao ke ghulam hinsa par hinsa kiya ja rahe hain , buddh aur gandhi ke desh me is prakar to moorkh siddh hote hain kisan , jo kisi ki hatya nahi , aatmhatya karte hain hame yeh bhi pata hai ki ye swayam un kshetro ke vikas ke virodhi hain ye sadkon –schoolon ko surangon se uda dete hain bijli- sadak isliye nahi jane- ban ne dete ki tab police ki pahunch un tak aasan ho jayegi yeh sab jante-samajhte hamare buddhijeevi inka prachar karte hain aur naxalvad ko mahima mandit karte hain kyonki jan ke prati inka koi vastavik moh nahi hai , jan kalyan me inki koi abhiruchi nahi hai ,na satta ke liye zaroori dhairya ya desh ke prati kartavyanishtha ye utawle hain satta prapti ke liye , fir mano sab apne aap theek ho jayega aur iske liye is neeti se achchhi baat bhala kya ho sakti hai ki satta bandook ki nali se nikalti hai
Sambhav hai aisa hota ho swatantrta ke liye krantikari bhi aisa samajhte the aur hinsak karyavahiyan angrezon ke khilaf karte the , lekin we inki tarah darpok nahi the jo marne se darte hon we marte the to marne ke liye taiyar bhi rahte the unhe fansi hoti thi jiska fanda choomne ke liye we saharsh taiyar rahte the kam se kam unhe yeh to maloom tha ki we sarkar dwara abhinandit to nahi hi kiye jayenge , ab azadi ke baad bhale unhe samman mil raha hai aur unke aashriton ko pension
Bhagat singh parliament me bam fodkar bhage the kya ?unhe apni mrityudand ka poora gyan tha yahan tak ki ahinsak vaicharik kratikari Sukrat ne bhi quaid se bhagne ka koi upkram sweekar nahi kiya aur vish ka pyala piya inke vipreet hamare naxalvadi bhai is pratyasha me hain ki hum chahe jitnte marein , sarkar hamei na mare ,balki hatho-haath utha kar dilli ki gaddi par bitha de inkee khamkhyali sahi bhi hai kyonki ye jante hain ki bharat sarkar ek janta dwara chuni gayi ,tamam dalon ke sahare chal rahi ek nihayat kamzor sarkar hai uski zara si prati karyavahi par civil societies use lanat bhejne lagti hain , bhale inki koi karyavahi civil activities se mel na khati ho Apoorvanand ne kabhi Jansatta me likha tha ki maovadiyon ko jangal hi kyon bhate hain ? kyonki ye kamzor hain apne antarvastu me inke paas khule me samajik karya karne ka madda nahi hai ye apne cheen me ho rahe nagrikon par atyachar ke khilaf nahi bolte Pakistan , iran ,iraq nahi jate ,mano saari gareebi ,sara shoshan kewal hindustan me hai Ye apne bachchon ko bhi wahan na bhejkar Amerika bhejte hain , jisko ek saans me ye sau gaaliyan dete hain Abhi misr me jo takhtapalat hua hai usme inka kya yogdan hai ? To kya hain ye loge ? Be pendi ke loge #

Naxalvad

*Jaise bharat ke sadhu-santon, pravachan kataon , aghori tantrikon ke bare me kaha jata hai ki unhone poore desh ko bharmaya hua hai , usi prakar ek international sant Baba Marx ne bhi porio jagti ko khoob bharmaya [albatta ise unke bhakt manenge nahi ,man gaye to kya bhakt honge] , aur abhi bhi bhram ka yeh nasha duniya se door nahi hua hai Iska karan unke siddhanton ki vaigyanikta nahi ,balki usme bhare huye josh aur hare- bhare bhavishya ka aakarshak swapna aur sath me atiranjit political activism ,playful sportsmanship ke teamwork ka utsah ,kuchh kar rahe hone ka santosh bhav hai GEETA ke karmandeva ki tarah Yeh bhi manushya ki maulik chah hai aur isliye inke bhoke pyase mehnatkash karykartaon ka koi dosh nahi hai Chinta unke is bhram se hai ki wh koi daivi Kranti kar rahe hain aur iske peechhe tension karke apna swasthya kharab karte hain Marx ke jadu ka karan yeh bhi hai ki duniya me mazdoor hain ,ve rahenge , unki dasha bhi apekshakrut kharab rahegi aur unke prateek sambal ke roop me Marx vaad chalta rahega yeh rukega jab anya samajik shaktiyan jase e.g Islaam ,jisme barabari-bhayichara-comradeship ki badi gunjayish hai ,ya anya dharm-sampraday ,koi naya naitik vaigyanik –dhrmik vichar ghareebnawazi ko apna mool uddeshya bana le ,aur nikatastha samta ka rukh akhtiyar kar le wh zyada kargar hoga kyonki wh kewal rajya hasil karne aur tab kuchh kar pane ka bahana nahi dhoondhega na use jaldbaji me himsa ka sahara lena padega wh manushya ko manushya samjhega ,rajya ka adheen hissa koi keeda- makoda nahi , use aur manushya ban ne ka marg prashast karega wh chaitanyata ki ladayi hogi prolitariat ke apne andhvishvason aur neech dharnaon ke khilaf jiske nate bhi samaj me shashan aur gair barabari bani huyi hai wh bandook ki naliyon se kewal satta –prapti ki ladayi nahi hogi bas isee satta ke chhaliye se jis din janta ka mohbhang ho jayega us din ek manushik kranti prarambh ho jayegi

*[4/11/09] Aadivasi kshetron me vikas ka tota hai ,isliye maovadi hinsa me abhivruddhi hai , yeh to sachmuch dukh ki baat hai Sarkar to ab bhala wahan kya khakar vikas karne jayegi ? to aisa kiya jana chahiye ki inhi asantusht hinsak guton ko sarkar sau-pachas arab-kharab rupaye saunp de ki bhaiya yeh lo ,aur aadivasiyon ki bhalayi ke liye jo bhi tum karna chahte ho karo par is desh me aur is bhale kaam ke liye hinsa ka marg mat apnao. Par ek sawal to ,fir bhi anuttarit rah jata hai ki in beehad jangalon me terhe- merhe durgam raston se vikas nahin pahunch paaya ,to bhala ye bam-bandooken wahan kaise pahunch gayin khair chhodo , ab to jaise AK-7 vagairah gayin hain usi raste se vikas-maiya ko bhi panhucha do aur khush raho #
*Aajkal tamam bhrashtachar aur scam ke mamle chal rahe hain ,aur aashchary hain ki main lagbhag chup hun Ek to is karan ki mere kuchh karne ko wahan ab bacha nahi ,aur doosre ki tab mujhe iska bhi khulasa mangna padega ki ati-deen-heen gareeb aadivasiyon ke neta naxalvadiyon ya Maovadiyon ke paas itni athaah – akoot sampatti kahan se aa gayi ? #

*Haan nahi to !
Ydi maovadi neta ka naam Kishan ji hai ,tab to koi samasya hi nahi hai hamein unki Raasleela Saharsh sweekar hai
*Haan , Chidambaram ki baat sahi hai ydi maovadi aur Arundhati Roy jan pakshdharta ke kaam kar hi rahe hain, tab to unhe vote ke madhyam se satta me aa hi sakte hain ! unhe is se kaun rokta hai ?#
*Marxvadiyon ka saath –sahyog hum isliye bhi nahi de sakte kyonki ve mao vadiyon , Trinmooliyon ke nishane par hainaur hamein apni jaan pyari hai [4/11/09#
*Sudhish pachori ne maovadi manas aur karm ka gazab ka vishleshan kiya hai [jansatta 4/11/09]#
*Ise suniye aur hinsa ki shakti pahchaniye #
“Those who say that the gun had no role let me tell them , it highlighted the issue of kashmir “
[Mehbooba Mufti PDP chief , HT-4/11/09] isee aadhar par maovadi karyvahiyan bhi dekhein unhe bhi to apni oor desh ki nazar kheenchni hai !#
*Odisa me collector aur junior engineer ko bandhak banaye jane par unhe chhodne ke liye maovadiyon ne jo mangen rakhi hain , usme ek sinchai pariyojna ko bhi vapas lena shamil hai Buddhijeevi fir bhi kahenge ki vikas ka na hona naxalvad ke ubhaar ka karan hai 20/2/11 #
* vinayak sen aadivasiyon ke beech bahut lokpriya the To wh collector bhi unke beech bahut lokpriya tha fir dono ke saath naxaliyon aur unke samarthkon ke vyavhar me itna antar kyon ?
Aur jante hain , mother Terressa kuchh kam seva nahi kar rahi thee . lekin unke baare me communiston ki kya rai thee ,kuchh yaad hai unhe ,jo aaj Dr Vinayak ke sewakarm ka gun gaate nahi thakte hain ?#
* satta banduk ki nali se nikalti haai “ ,ydi ise maovadi theek maante hain ,to yahi neeti to sarkar bhi apna rahi hai –ki satta banduk se hi qayam rakhi ja sakti hai “ par tab inki nani kyon marti hain , aurchilllate firte hain ki hai-hai sarkar hum par zulm dha rahi hai ?#
* mere khyal se duniya bhar ke darshanon ke beech maovad ka darshan ek kalank hai aisa darshan kabhi kahin ,kisi ne nahi diya aisa gair-insaani siddhant jisme aadmiyon ko maar kar unka jeewa sukhi kiya jaata hai sao crore janta me se bees ,pachees –pachas crore ka khatma kar dijiye ,to shesh ka jiwan to sukhmay ho hi jayga isme kaun si nayi khoj kar lee vidambana yeh ki yeh us desh ki khoj hai jahan Confusius jaise vicharak ho chuke hain ek moti baat inki samajh me nahi aati ki ydi inhe satta prapt karni hai to sarkar ko satta bachani bhi to hai ? aur dono ke siddhant ek hain to fir shanti aur pragati kahan ,sirf kursi ka yuddh hai ##
*Mera khyal hai , Bharat ke vaampanthi ba-raste trade unions aate hain , ve jahan bhi kaam karte ya kar chuke hote hain , zyadatar Bank –Bima me , uski safalta ke karan ve Marxvad –Leninvad- Maovad ko bina vichare labade ki tarah odh lete hain , bas In vaadon ke prati vaigyanik chetna unki roodh hoti hai aur ve uska manovikas karne ki zahmat nahi uthate #
*Vikas ka mudda uthane ka surag unhe manavadhikarvadiyon se mila varna yeh unki maulik chinta na thee na hai wh unki jeewan pranali hai #
*Yeh salah sahi hai ki maovadi hinsa ko rajya ki hinsa dwara samapt nahi kiya ja sakta , ya nahi kiya jana chahiye Kyonki rajya-hinsa ke virodh me fir naxalvadi hinsa tej hogi aur use hinsa ki tarkik zamin milegi Par sawal yeh hai ki yehi baat aap maovadiyon ko kyon nahi samjhate –ki aye bhai atankvadi ! ydi tum hathiyar se rajya ke prateek laghu-manav police karmi ko maroge to fir rajya ko bhi tumhare viruddh safai abhiyan ka thos bahana mil jayega aur hum tumhari madad na kar payenge
Ajeeb rawaiya hai buddhi jeeviyon ka ! jitne dharna –pradrshan –juloos manav –adhikar vadiyon ne sarkar ke khilaf naxali samarthan me kiye ,kya koi virodh inhone naxali hinsa ke khilaf unke kshetron me kiya ? koi nahi Inki shubeksha hai ki sarkar to inse thar thar kanpe ,par unhe sarkar ki taraf se poora abhaydan mil jaye aisi naitik vyavastha hai inke vicharon me ##

बदमाश चिंतन

0 अपनी पत्नी की
मुझे लाज रखनी है ,
इसलिए नज़रें
पराई ओर रखता हूँ ।

* angrezi ka BETTER shabd , urdu ke BEHTAR se liya gaya prateet hota hai #

*I love democracy,
But I am not democrat
I am hypocrite ##

*Striyan hamari majbooriyan hain majbooro na ho to hum aurat ko apne ghar me na paalen ##

* chaar shaadiyan : Pragatihsil logon ko bahut padi rahti hai jaati baahar , dharm baahar shaadiyan karne ki Aakhir unhe kitni shadiyan karni hain ? Ek hi to ? Aur jab ek hi karni hai to apne jaati dharm me kya burayi hai , ydi unhe apna jaati – dharm nikrishta nahi lagta to ? Aise me Islaam ki yaad aati hai Is tarah to wh sabse pragatishil hai ki wahan chaar shaadiyan ki ja sakti hain Hindu –Muslim –Sikh –Iisayi ka bhai chara sachmuch qayam ho jaay !##

*MANSOON = maan jaao very soon [Jaldi ] , - - varna -- #

*Kiski hai wh kiski hogi,
Beevi iski uskee hogi #

*Triya picture :- Main pahli baar 3-D picture dekh raha tha Beech me khyal aaya ki hindi vadi mitra –‘bandhu ji ’ ko kya bataunga ? Unhe hindi me ‘tri-aayami ’ batana padega angrezi ki tarah short karun ti yeh :TRI-AA banega Matlab , main kahunga –triya picture ya fir seedhe “Triya charittar” dekh raha tha ##

*PROSERY = Prose like poetry [i.e my style of poetry]
*Main mahila –virodhi hun Swabhavik hai kyonki main unka vipreet lingi [hetrosexual] hun , Aur ve mere prastav ka samarthan nahi kartin
*Burqa rahna chahiye wh rahega bhi , hamare aap ke kahne , chane- na chahne se kuchh hota bhi nahi main paardarshita nahi chahta Sab cheezon ki soochna ke adhikar ki bhi mujhe chaah nahi ##
*Chhedkhani aur balatkaron ke samacharon se aurton me yeh dharna avashya ban rahi hogi ki mano purush varg unke liye maraa jaa raha hai , dharashaayi hua jaa raha hai Jab ki aisa hai nahi
Isliye unke bhram-navaran ke liye purushon ko chahiye ki chhedkhani ya balatkaar ko kaun kahe , ladkiyon aur aurton ke prati kisi swabhavik aakarshan se na kawal mukta hon , balki unki upeksha karen ,bahishkaar karen , unse door rahen unki taraf aankh utha kar dekhen tak nahi aur ydi nazar galti se uth jaay to use fauran wahan se fer len Tab pata chalega aurton ko purushon ka bhav
*15/4/11 Ek taraf se Rahul gang ko samarthan aur barhava , doosri taraf balatkariyon ko saza dilwana ! bhala kis himmat-e-niswan dwara sambhav hai ?
*15/4/11 Natak- MAHA BRAHMAN , Brahmanon me chhoot- achhoot ki samasya Ab hamari samajh me aa jana chahiye ki brahmanvad koi samasya nahi hai , kyonki yeh har desh ,samaj ,samuday me vyapt hai Fir iske nirakaran ka koi upaay bhala ho hi kaise sakta hai ? Jo samasya nahi hai us se hum hwayi yuddh lad rahe hain Safalta ka sawal hi nahi uthta main chahun to ek naya dosh brahmanvad ke sar par thonk sakta hun Hamare jaise na jaane kitne logo , yuvaon- krantikariyon ko apne se ladwakar unhe lahoo-luhaan kiya ,unka moolyvan samay,durlabh jeewan nashta – barbaad kiya Aur hua kuchh nahi kuchh hona bhi nahi tha kyonki brahman vad koi samasya hi nahi hai Sab manushya ke apne manovikar hain jinhe wh anya-anya naamon par thopta hai Vishvaas na ho to vidit kar lijiye Ishwar ke naam par hamne kya-kya nahi thop rakha hai Par sach kya hai ? Kya sachmuch Ishwar hai ? ##
*Hum galat rajneeti ke abhyast hain Virodhi dal hain to unka sarvada kaam hai sarkar ki har achchhe-bure kaam ya neeti ki aalochna hi karna unse rashtra hit se koi sarokaar nahi hota [yuddh-aapda ko chhod kar] e.g. Rajeev Gandhi ne kah diya ki ek rupye ka chaar aana hi pahunchta hai ki sab le ude mano ,unhone iska samarthan kiya ho ya iske liye karmchariyon ko uksaya ho Ek sachchi sthiti bayan kar di to ve doshi ho gaye haay-haay , jab pradhan mantri hi kah raha hai to us desh ka kya hoga ? mano wh na kahte to sthiti badi suder hoti Vastutah wh is saafgoyi ke liye prashansa ke patra the nhi ki kya yeh baat galat thee ki –“jab koi bada pend girta hai - - -” ? Par iske liye unhe hinsa uksane ka doshi bataya gaya Kya yeh sach nahi tha ki Indira Gandhi ki hatya unke sikh angrakshakon dwara sampradayik soch ke tahat kee gayi thee ,jinhe Indira Gandhi ne apni abhiraksha ke karya se hatana inkaar kar diya tha ? Kya unke saath vishwaas ghaat nahi hua tha ? Isee prakar Gujrat ki aalochna karte samay koi Godhra ka naam tak nahi leta , jiska kuchh to pratifal tha hee Gujrat Yeh theek hai ki ati nahi honi chahiye thee , sarkar ko use sakhti se rokna chahiye tha na ki usma shamil hona Iske liye Narendra Modi ki aalochna uchit hi thee Lekin Godhra ko sabhya samaj dwara bilkul darkinaar kar diye jane ka hi nateeja hai ki aaj Narendra Modi ki wahan fir sarkar hai
*”LOK BRAHMAM” hain hamare aadhunik Indian civil society , right activist shreshthata ke dambh se paripoorna , purane brahmanon ki bhanti
*”Aadhi Roti khayeinge , Shauchalay banvayeinge” = village wall writing
Is par Bandhu ji ka kahna hai tab shauchalay ki zaroorat hi kahan rahegi ?
*Shadi huyi Khajan se / Pooja kartin bhagvan kee
*Jis samay Marx, Poverty of philosophy ki bakvaas kar rahe the , us samay unki patni Poverty of Medicine se joojh rahi theen
*Safety Razor se bhi daarhi kat sakti hai Visheshkar burhape me , galon par jhurriyon ke karan
*Mai SUDOKU ka khel khel kar apna manoranjan karta hun akhbaron ke easy level ke sudoku bharta hun medium ko haath nahi lagata , aur Hard ko to dekhte hi hata deta hun Kaam manoranjan ke liye karta hun , sir dard mole lene ke liye nahi [a sort of Khushwanti ekhan]
##############

Last Roman

*Sachmuch zindgi to wh ki jisme saans lene tak kee fursat na ho #
*Main manta sab hun Jaati bhed – rashtra bhed , Ling bhed , ityadi sab Lekin main unka vyavhar me palan nahi karta #
*Jo bada ban na chahte hain , ve bahut chhote log hote hain [Tabhi to we bada ban na chahte hain !] #
*Tumhare kaan ko kauwa le jaay , aisa to na hone do ! #
*Wahin meri hansiya – hathori rakhi hai , wahin mere Koran – Puran ! #
*Kuchh log itne vishvasneeya hote hain ki vishvaas nahi hota ! #
*Sab log bada aadmi ban na chahte hain Fir hum “DALIT” kyon rahna chahte hain ? #
*Mujhe to shastriya sangeet- nritya ki bhi bareekiyan samajh nahi aati , main brahmaand ki sanrachna kya samjhoonga ! #
*Samay ki itni jatil paribhashayein mahabharat se lekar Proffessor Hawkins dete hain Lekin aam jan ke liye wh bilkul kathn nahi hai kaise din beet jaata hai ,fir kal ho jata hai , use pata hi nahi chalta #
*Kenchuye ki tarah ydi apna shareer ainthna jaante ho , to kya samajhte ho ki tum sarkaar ki gardan bhi ainth loge ? #
*Aurat ka shreer koi paras patthar nahi hai , jise chhookar hum sona ban jane ki ummeed karein #
*Jis se jitni apeksha karoge , wah utna hi apekshit ho jayga #
*Ydi aurat kuchh khaye nahi , beemar na pade , to main use jeewan bhar pyar karne ke liye taiyar hun #
* Ghulam zinda rahte hain Samant vansh mrityu ko prapt hote hain #
* Loktantra ko itna pareshan to mat kar deejiye ki wah desh hi chhodkar bhaag jaay ! #
*Koi zaruri hai ki ’ maada hai ‘ jaan ne ke liye aadmi ki poonch [dum] uthayi hee jaye ? ###
*Communist vichardhara bhi bina mujhe kuchh diye nahi gayi Dharm ne jahan aadmi-aadmi me bhed dikhaya , Marx vad ne class difference ko pahchanvaya ##
*Hum patrakarita ki majbooriyan dekhen ya patrakarita ki pratishtha ? ###
*Galti kisi ki bhi ho , hum yeh jante hain ki cot mujhe aayi ##
*Nagnata aur ashlilta me anter avashy hai , par kahin aisa to nahi ki aap is muhavare ki aanr me ashlilta ko nagnata se dhakne ka prayas kar rahe hain ? ###
*Kya jhoothe logon ke saath bhrashtachar ya kisi bhi burai se imsndari ke saath lara ja sakta hai ? ##

Said Roman

*Hindu- musalmanke nam par nam matra ki rajneeti bhi na kijiye isee se tafarka paida hota hai , hona shuroo ho jata hai isee rajneeti ke prabhav me kabhi musalman zyada bachche paida karne lag jata hai , to kabhi kabhi hindu ko adhik santanein janm dene ka ahwan hone lagta hai , jo apni jagah par poore tarkik hote hain , kyonki aapki rajneeti bhi to usee hisab se chalti hai !tabhi jansankhya , alpa snkhya ya bahusankhya ki duhayi aur uske aadhar par hissedari ki mang shuroo ho jati hai , jo sarasar galat hoti hai aur samprdayikta ko barhati hai dharmon ,jatiyon me aapas me shadiyan iseeliye nahi ho pati ya unhe protsahan nahi milta kyonki tab jati vishesh ka jan [sankhya]aadhar gadbada jane ka bhay hota hai aur rajneei , satta ki taqat bahut badi cheez hoti hai bhayi iske liye kya-kya nahi ho sakta hai ,ho jata hai ! ##

*Hum parlok , par-rashtra , par-stree ki taraf nazar nahi karte

*PARIWAR BHI POORI RAAJYA KI IKAAYI HAI .

*Prem ek anjan mehman ki tarah hai , jiske aane par chehra prafull ho jata hai
*Aagah : Har burayi ka srot brahman , har kharabi ki khan bharat aur har nakargi ka naam sarkar, yeh baat ghatak hai Jaise har musalman ko desh drohi kahkar konchna ghatak tha , jiske karan hum kabhi RSS pro kabhi na ho paye Bahusankhyak ki samprdayikta ko loktantra ke rajneeti shastri zyada khatarnak batate hain , to bahu sankhyak ka algao bhi unhe deshpremi nahi banayega #

*Kisi ko chhota siddh karne ka yek tarika kahavatki tarah yeh bataya jata hai ki uske aage ek badi lakir khinch do ab isi prakar yeh kaha ja sakta hai ki ydi kisi ka vyaktitwa bada pradarshit karna ho to uski pratidwandwita me ek chhoti lakir khinch do

*Sab samajhte hain ki main kuchh nahi janta , jabki jo main janta hoon wh koi nahi janta

*Aurat ko atirikt labh yeh hai ki wh sampatti viheen hokar bhi samriddhivan hoti hai

*Common culture at common public places should be adopted and not the diverse culture #

*Huttington ke prasiddh vichar –‘ sabhytaon ke sanghash ‘ ka parinam main nikalta hoon – Asabhyta ka vinash #

*Viddwanon ke munh lagna theek nahi hota , aur isee prakaar moorkhon se bhi zyada baat nahi karni chahiye #

*Main aashcharychakit hota hun kis prakar log apne paksh me tarkon aur tathyon ko apne hit me mod lete hain aur main har samay to turat unhe tok nahi sakta ! #[ Malviya sabhagar 29/10/09 ]

*Ydi aap vaigyanik mijaz ke pakshdhar hain , andhvishwas ke khilaf aur ratinalist to fir aap islam ke paksh me kaise ho sakte hain ? Muslim hit ke nam par islam ke pairokar , hitsadhak kaise ho sakte hain ? Vyakti [jan ] ka hitchintak hona aur baat hai , who vyakti chahe kise dharm- jaati ka ho Lekin love me love my dog kab tak kheenchte rahenge ?

*Urdu Ka , Kha , Ga
Main hindi varnmala me ise rakhna chahunga ka ,kha , ga , ja ,fa ke neeche bindi lagakar use urdu ka, kha . ga , ja , fa kahna chahoonga aur use theek se urdu ki tarah prayog me lane par jor dena chahunga

*TAJMAHAL
Sabko pata hai ki Tajmahal ke ban jane ke baad iske kareegaron ki ungliyan kaat dali gayi thin zahir hai we kayi thin kyonki kewal ek-do karregaron ke vash me itna bada nirmaan nahi tha Fir bhi log kewal eklavya ke ungli kate jane ke hadse ko bahut ro – ro kar gate hain aur is badi durghatna ka koi zikra nahi hota main dronacharya ko koi clean chit nahi de raha hoon , na shahjahan ko doshi thahra raha hoon , par main us chintan prakriya ki oor ishara kar raha hoon jiske tahat biased , pakshpatpurna rawaiya barta jata hai Fir bhi turra yeh ki ham bade without prejdice , nishpaksh , nyayik soch rakhte hain are bhayi , ek angootha katne ki baat to bahut purani hai , pauraanik hai , pata nahi sach hai bhi ya jhooth hai , lekin Tajmahal to ek hazar saal ke andar andar ki baat hai , aur sach hai
*Khatayi khane se namardi
Aisa gyan janlok me prachlit hai yeh hamein bataya jata hai , aur hum maan jate hain mard hokar namardi ka khatra uthana aur fir lok ke itne bade anand se vanchit rahna bhala kaun chahega ! ab is gyan , vishwas ya andhvishwas ka apne taur par pareekshan karke sunishchit karna aur tab amal me lana kaun karega jaisa ki vaigyanik mijaz – dhara ya rationalism hamein batati hai bas hum yahin gachcha kha jate hain jo bhi gyan hamare vaktigat pareekshan ke dayre se bachkar samaj ke bharose gaya ,wh , hum kahne ko kuchh bhi kah kar bach lein , par wh hamare andhvishwas ke hi adhyay par aa gaya aur ydi matra aise kuchh futkar gyan sachmuch parampara ke vaigyanik gyan bhi hon , to isee ke sath tamam paramparaein gyan ke roop me aa jati hain jo andhvishwas hote hain , fir bhi hum unhe mannane lagte hain usi me hastrekha bhi aa jati hai , rashifal aur swapna-vichar bhi Ab ,in sabke liye bechre ek manushya ko kitna dosh de diya jaye ? use apmanit to na kiya jaye ! ##

Naagrik say Roman

*Dear nagrik, now do not speak on matters of communalism and communism in front of friends who don’t speak, rather defend them they are either frightened or have been conditined or ordered by God to defend them If you don’t fear ,and you are visualising something else in these sects , pretend to be on the same lines as your friends are do not be too vocal against these communities , if you know their characters well Aur fir hum kar hi kya lenge , hamare karne se kya ho jayga ? to jo ho raha hai ,use hone do

*MAATR naam hi paryapt hai vyakti ko hindu- musalman aadi banane [ batane ] me

*Bhram :- hum apne jiwan me tamam tarah ke bhram me zinda rahte hain jitne hi ginaye jayen unki sankhya utni hi barhti jati hai par ek vishesh vyaktigat – paarivarik bhram batana chahte hain ek yeh ki jis se hum pyaar karte the ,us se ydi shaadi huyi hoti to hum zyada sukhi hote dusre usi se juda bhram bilkul ajeeb hai is mayne me ki us satya ko hum saamne roobaroo roz hum bhugat rahe hote hain, fir bhi hum man ne ko taiyar nahi hote ki jis aurat / mard ke saath hamara vivah hua hai , aur jiske saath hum rah rahe hain , uske saath hamari badi achchhi nibh rahi hai

*Bachchu , jab pyaar kiya tha tab nahi jana tha ki tum apni zindgi nark banane ja rahe ho ?

*[4/11/09] Vande Matram rashtr-gaan na hua ki – kya kahen ashlil ho jayega Iske khilaf fatwe ki fir pushti ho gayi ki yeh gai Islami hai , ise musalmanon ko nahin gana chahiye Iska virodh aazadi ke samay hi kya jana chahiye tha [Add- tabhi aur kaam bhi kiye jane chahiue the ] Ab is samasya ka ek saral upay meri samajh me aata hai ki ise Rashtr gaan ke sthan se hi hata diya jaay aur uske sthan par gaaya jaye -----“ khullam-khulla pyaar karenge hum dono “ tab shayad in do sampradayon me mel-milap ho
*Satyatah sahitya hame insan banata hai to sahitya ko bhi chahiye ki wh hamein insan banaye athwa aise sahitya ko hi sahitya kahna shreya hai jo vyakti ko aadmi banaye ##

*Sambandhon ke baare me jo bhi samajhdari ho , wh jab dono taraf se ho tabhi nibaah ho pata hai jaise vivah ke sambandh me aap pavitrata ke pakshdhar hain ya khulepan ke , yeh tabhi nibhega jab pati-patni dono ek hi tarah ki samajh rakhte hon ##

*Jo satta bandook ki nalee se niklegi , uske baare me yeh maana jana chahiye ki wh bandook ki nalee se hi chalegi ##

*Jo loge aandolan karna chahte hain ve is baat ka dhyan rakhein ki bharat ki police ka charitra kya hai ? aur tab apne samarthakon ko andolanon mein jhonkein

*Khushwant singh jaisa columnist ,lekhak koi aur nahin hai ,na hoga , aisa mera khyal hai Gazab ki lekhni hai !

*Sanskriti karm [cultural programmes & activities] bahut zyada sanskritik [cultural] athwa sabhya [cultured] nahi hain ,na hone wali hain inse bahut zyada aasha karna vyarth hai fir bhi ye rahengi aur apna prabhav bhi dalengi ##

*Angrezi ka virodh bhi mere liye isliye upyogi hai kyonki main is bhasha ko zyada nahi janta isme main apni baat theek se abhivyakt nahi kar sakta ,aur amreekan-briton uchcharan ko sun-samajh bhi nahi paata iske vipreet jo loge angrezi ka nirvah karte hain , unse bhi mujhe koi pareshani nahi hoti, kyonki utni angrezi to mujhe aati hi hai ##

*Ab ladkiyan mobile par baat karte huye asawdhanivash trenon se kat rahi hain , ya durghatnagrasta ho rahi hain , to iske peechhe bhi sambhavtah purushon ka haath hoga ! Han 1 ve kisi ladke se hi to baat kar rahi hoti hain ! usi ne uljha diya hoga Fir inhi ladkon ke nate hi to bechari ladkiyon ko apne maathe aur chehre se baal bar-baar haathon se peechhe jhatakna padta hai , varna ye haramzade ladke unke chehre theek se dekhte hi nahi Aur yeh muyi chust tight jeans bhi unhe ladkon ke bhay se hi pahan na padta hai , jis se kutte ladke sari-salwar ki tarah aasani se na faad payein aur balatkar na kar paayein isme bhagne me bhi aasani hoti hai itne saare zahmat to uthane padte hain is purushvadi samaj mein ! ##
*Hinduon me andhvishwas aur moorkhta failane walon ke putthon ki chhantai karne ke liye mujhe hindustan me hindu rajya chahiye #

*Khatayi khane se namardi
Aisa gyan janlok me prachlit hai yeh hamein bataya jata hai , aur hum maan jate hain mard hokar namardi ka khatra uthana aur fir lok ke itne bade anand se vanchit rahna bhala kaun chahega ! ab is gyan , vishwas ya andhvishwas ka apne taur par pareekshan karke sunishchit karna aur tab amal me lana kaun karega jaisa ki vaigyanik mijaz – dhara ya rationalism hamein batati hai bas hum yahin gachcha kha jate hain jo bhi gyan hamare vaktigat pareekshan ke dayre se bachkar samaj ke bharose gaya ,wh , hum kahne ko kuchh bhi kah kar bach lein , par wh hamare andhvishwas ke hi adhyay par aa gaya aur ydi matra aise kuchh futkar gyan sachmuch parampara ke vaigyanik gyan bhi hon , to isee ke sath tamam paramparaein gyan ke roop me aa jati hain jo andhvishwas hote hain , fir bhi hum unhe mannane lagte hain usi me hastrekha bhi aa jati hai , rashifal aur swapna-vichar bhi Ab ,in sabke liye bechre ek manushya ko kitna dosh de diya jaye ? use apmanit to na kiya jaye ! ##

amb say Roman

*Ambedkar ne kaha –main hindu paida hua ,yeh mere vash me nahi tha Lekin hindu marunga nahi ,yeh mere vash me hai Aisa hi ab daliton ke vash me hai ki wh dalit ke roop me na mare Lekin sarkar ne [Ambedkar ne nahi ] aarakshan roopi swarn mrug ko aisa daudaya hua hai ki ab dalit na kewal swayam dalit ke roop me marna chahta hai balki apni peerhiyon –dar-peerhiyon ko bhi dalit hi banaye rakhna chahta hai
* Kaise kah sakte hain ki daliton me Raj vargeeya Saundarya chetna nahi hoti ? Myavati dwara Lucknow kea sundarikaran drishtavya hai

* KYA KARAN HO SAKTA HAI ? Hindu apne bachchon ko hindu banata hai musalman apne bachchon ko musalman banata hai Aisa hi Sikh ,Iisayi, Parsi vgairah bhi Lekin communist apne bachchon ko America bhejta hai

* VISHISHTA MANUSHYA HI SADHARAN INSAAN HO SAKTA HAI .

* JO BHASHA HINDUSTANI AADMI BOLE DE WH HINDI HO JAATI HAI .

* LOVE MARRIAGE ka bukhaar tabhi utrega jab marriage ke baad , atirikt/ extra love ki gunjayish / chhoot dee jayegi

* Jab shikshak , abhibhavak pitayi ko theek samajhte the , tab unki pitayi se chhatron ki jaan nahi jaati thee Ab ise ve bura samajhte hain ,to bachchon ko itna peet te hain ki unki jaan nikal jaati hai

* KRANTI BAHUT BADI CHEEZ HAI . Badi doorgaami , dhairya –aakanchhi communist ise sambhaal nahi payenge
* Yadi nark me rahne ki tumhari himmat hai to tum sansaar me sukhi rah sakte ho

*Jhooth to mainaisa bolta hun , jaise GANGA-JAL

*DO NOT CREDIT YOUR BIRTH TO GOD AND NEVER BRING DEATH TO YOUR LIPS .

*ALWAYS KEEP YOUR BALANCE OF MIND , nagrik ji !

* Jis desh ne ANGULI MAAL jaise logon ko dekh rakha hai , wh bhala aatank vadiyon se kyon darega ?

* Mere uderstand me yeh nahi aata ki hindu aatank vad par log itna achambhit kyon hain ? aur kuchh log is se inkar kar , apna palla kyon jhadte hain ? fir bhi ve hindu neta kahate hain , aashchary to yeh hai Kya maoist hindu nahi hain ? gin lijiye , ktne musalman honge nepal me to poora ka poora raajya hi maoist shasan me convert ho gaya fir bhi hum kahte nahi thakte ki hindu aatankvadi nahi ho sakta

* Angrezi to ho gayi hai hindustaniyon ke pant- kameez ki tarah na wh chhodi jaati hai ,na yeh utaari jaatee

*Buddh ka samanya-kathan na maano buddh ka vishisht kathan maano OR/ Buddh ka kahna na mano Buddh ka kahna mano [ambiguous? No, very clear]

* Kya karan hai ki , angrezi ke pathak kam se kam ‘letter to editor ’ to dhang se likh lete hain ? Hindi ka pathak to wh bhi nahi likh paata

* Log kahte hain – aabadi barhi hai mujhe to kahin nahi dikhti doctors ki kitni sankhya hai bhala desh me ? kya wh paryapt hai ? fir aabadi kahan barhi ?

*Yogi to sachmuch wh hai jo 20 Rs pratidin me guzara kar raha hai
*Aajke naxalvadi poorvjanma ke musalman hain ve apne dharmik aadesh ka paalan karne ke uddeshya se Cheen desh ko gaye the bas wahin unhone maovaad ki shiksha –deeksha paayi ##

*Meri samajh me ek baat nahin aati ki hum vichar karte hi kyon hain, itna saare pushta ,sudrurh vicharon aur siddhanton ke hote ? ##

*Jo aayu nahi ginte , ve lambi umra jeete hain ##

Nahi say Roman

*Nahi Manushat shreshthtaram hi kinchit or/ The Man is important Isme vyakti ke manushya ko aadar dene ki baat kahi gayi gayi hai Manushya ke vyakti ko mahayva dene ki baat isme mat samajh lena

*Dekhiye , yeh jo aap log kar rahe hain , pooja-paath,bhajan -keertan ,yagna-havan,teerath-baat vagairah , sab ekmusht zindgi ko aasan karne ka rasta hai , ZINDGI NAHI HAI . Ab thoda zaroorat hai ,ZINDGI JEENE KI . Bhale wh thoda kashkar ho , MANUSHYATA KE HIT ME .. ##

*Jo bhi log jaativad ke samarthak hain, ve apni hi jati ko sarvshreshth batate hain Bhala yeh kaise ho sakta hai? Unhe to kinhi jaatiyon se apni nyoon ta sweekar hi karni chahiye

*Main Hindu rajya ki sthapna isliye chahta hun kyonki isme vyakti suraksha poorvak nastik ho sakta hai , aur Hindutva ki kisee bhi kupratha ka virodh nirbhay hokar kar sakta hai

*Raneeti me main isliye hissa leta hun kyonki rajneeti bada mahatv poorn prabhav dalti hai manushy ke vyavhaar par bhale door se Jaise jyotish me taron-sitaron,grah-nakshatron ke bare me kaha jata hai

*BHARAT PANTHI , Main sochta hun ki ydi mujhe batana pade ki main kya hun , vaampanthi, dakshinpanthi aadi me se , to main kya bataunga ? Main bataunga – “ BHARAT PANTHI ”

*Itihas pahle mann mohta hai , fir dhire-dhire mastishk par bhi kabza bana leta hai Aage andhkar me le ja kar ‘mulaqat’ [dating] karta hai aur aatma ko ksheen bana deta hai Albatta wh vivah kisi se nahi karta

*J o swaarthi vyakti na hon , unse sambhalkar raho wh swarth-mukta hokar aapka koi swarth-siddhi karykram nahi bhi hone de sakta hai use latka sakta hai , rok sakta hai

*Jo bolte hain wh kahan likhte hain Hindi me bhi dekhiye bolte hain kalakter ,likhte hain jiladhish Pukarte hain B.D.O saheb , jab likhit prarthna-patra hindi me deni hogi to likhenge – siriman Khand Vikas Adhikari mahodaya !Ex.En, A.E, J.E. ko adhishashi, sahayak , avar abhiyanta likhenge

*Koi ydi mahavidvan ke roop mepratishthit hai Fir wh tanik bhi moorkhta ki baat kahta hai to use hi maha-moorkh kaha jayega Use nahi ,jo sadharan aadmi hai , bhale hi wh prayah hi badi-badi moorkhta ki baaten karta ho

*15/4/11. Abhi abhi mujhme ek bada vichar parivartan aaya jaise main ishwar aur dharmon ki burayi- aalochna to karta hun , par unse main pareshan nahi hota balki unhe main sanskrutik roop se bachana bhi chahta hun , isliye unhe taraashta rahta hun isee kram me maine apne aap se kathor prashna kiya ki mujhe to fir Marxvaad se bhi koi pareshani nahi nahi honi chahiye kyonki jab main apnae andar khagalta hun to paata hun ki main bahut gahre arthon me samyavadi hun , kisee bhi kathit communist se zyada , theek jaise main atyant gahrayi me aastik aur dhaarmik hun alochna to main aage bhi in sabki karoonga par nishchay hi ek nitant prem ke saath WITH LOVE TO THEM

*Mera putra mujhe kuchh deta nahi , to yeh bhi to nahi poochhta ki papa, tumhari pension kitni hai ?

*Main kabhi apne baap ka beta tha , ab main apne bete ka baap hun

*Zyada bakaiti na kijiye Pahalwanon ka burhapa bahut bura beet ta hai

*Dawaon ka thaila bada se bada rakhta hun , burhape ke sammaan me ,uski garima banaye rakhne ke liye Dawaon ki khali panniyon aur sheeshiyon se ghar bhare rahta hun Vay [old age] jhaankti hogi aur mere kamre me apni kursi surakshit rakhi dekhkar bahar se hi vapas chali jaati hogi main bheetar jawan bana rahta hun

*Ydi aapko manushya se prem karna hai to to pahle uski kamiyon-kamzoriyon , moorkhtaon ko sahan , balki unka kuchh anusheelan karna bhi seekho

*Vivek vyaktigat oorja hai Kisi ke kahne- konchne se vastav me paida nahi hota , jab tak ki vyakti mewh swayam jagrut na ho jaye

*Sabse bade rogi [patient] ve hain ,jinme dhairya [patience] nahi hai

Roman say

*Ydi hum bhrashtachar ke khilaf kaam krenge to naxalvadi bhi jis tarah paisa ugaah rahe hain , we bhi to chapet me aa jaynge ?
* slogan hai – Bhrashtachar Mitao’ Log apna kam bhala kis par taal rahe hain ?
*Bhrashtachar khatm karne ka sahi upaay koi bhrashtachari hi bata sakta hai *Ydi hum bhrashtachar ke khilaf kaam krenge to naxalvadi bhi jis tarah paisa ugaah rahe hain , we bhi tochapet me aa jaynge ?
* sab kuchh soch – vichar kar bolna ,aaga-peechha sochkar baat karna , door tak soch kar vyavhar karna hi raajneeti hai Aur aisi rajneeti karni har nagrik ko aaye , to isme kya burai hai Yeh to achchhi baat hai Yeh sabhyata aur sanskriti ki politics hai Rajneeti mooltah vaisi buri nahi hai jise hum dekh rahe hain , jiska hamare samaksh pradarshan kiya ja raha hai ###
* CHHOTE LOGON KI IZZAT
Main soch rahan hun ki apne saathiyon ,mitron aur bachchon ko kaise likhkar samjhaun ki ve chhote se chhote logon ka bhi aadar karna seekhen , unhe bhi poori izzat bakhshen Unka bhi maan –samman karen jo tumse nimna sthiti me hain ? To wh yeh sochen apne primary school ke teacher ke bare me jiski kuul quabiliyat se kahin zyada ve aaj parh-likh gaye hain Par kya hum use adne master se zyada bade ho gaye ho sakte hain ? Nahi , wh “ka, kha, ga, gha” , pahada ratane wala ab bhi mujhse bada hi hai , aur hamare aadar ka paatra - - - - - - - - - - - Aur wh ungli pakad kar chalna sikhane wala boorha – nirakshar Dada ? Wh kahaniyan sunakar sulane waali anpadh dakiyanoos Naani ? Wh kandhon par bithakar Khet- bagaan ghumane wala asahay Baap ? Mele ki sair karane wala dehati bada bhai ? - - - - - - - - - Fir , gaadi to ab hai na tumhare paas ? wh chhotka chacha jo bicycle ke carrier par bitha kar door- door baarat le jaya karte the ? ? ? ###
*Jo “aadmi” bana ne chale the [Dharm] unhone bhi “AADMI” nahi banaya Jo samaj banane chhale the [samajvad] unhone “SAMAJ” nahi banaya Har kisi ne sirf “RAJYA” par nazar rakhi Ab rajya ka kaam to hai nahi “VYAKTI” ya “SAMAJ” banana ! ##
* Kathit achchha kavi hone ke liye ek kaam karo Koi rajneetik karan bana kar giraftar ho jao aur jail chale jao Tumhe mahan krantikari kavi maan liya jayega Yeh vyangya shiksha Hari shankar parsai ke ek kathan se lee ja sakti hai
*Bahut achchha sahitya rachte hain log Main to bas palde me Tulsi Dal rakhta hun
*Aurtein sabhi banayi gayi moortiyan hain “aurtein paida nahi hotin” To fir kaisa naari aandolan ? kaisa stree-swatantrya ?
*Parhe-[shikshit] kewal unhe kaha jana chahiye , jinhone parhna abhi bhi jaari rakha huwa hai
*Jinki kitabon me naitikta ki zyada batein hoti hain , unki naitik drushti utni hi kamzor hoti hai
*Meri patrakarita sirf tathya, tark aur vichar hi nahi , samajik ladayi ka ek maidan hai
*Kisi kavi- shayar ke liye Ishwar _Allah koi samasya nahi ho sakta wh sabka sunder ,yatharth aur manveey prayog kar leta hai -Kidhar se barq chamakti hai “ wh hame uski disha bata deta hai

* DALITARTH = Dalit ,savarn sahanubhootik lekhan ko dalit lekhan na manen ,ya savarn ,dalit lekhan ko sahtya hi na mane to isme koi kya kar sakta hai ? Lekin un practicing-uninvolved sahitya lekhan ke do udaharan meri jankari me hai Ek shayar the Sahir Ludhiyanvi Ve aajanm kunware the , lekin nar –naaari sambandh ki bareekiyon par unhone nayaab kavitaein kin Isee prakar ,ek shayar the janab Riyaz khairabadi unhone kabhi sharab ko haath nahi lagaya ,lekin maykashi par shayri ka jhanda gaad diya Ab aage mujhe sirf yeh jodna hai ki Rishi valmiki ,Sant Ravidas hon ya adhunik dalit jaati ke tamam chhupe rustam sahitykar, ve savarn / kalavadi lekhan me kisi bhi savarn lekhak kavi –rachnakar se tanik bhi unnees nahi hain Ye udaharan bhala hamen kya sandesh dete hain ?
*RULERS HIDE , The philosophy of Achchha shasak wh hai jo chhip kar shasan kare Ishwar ki tarah Jo prataksh na ho Log uski moorti ko raja bana kar apna shasan chalayen ,wh aur baat hai Ya uski khadaoon ko rajgaddi par bithayen shasak dwara tax vasoolne ke bare me to kaha hi gaya hai ,ki jaise madhumakkhi foolon se ras leti hai Isee prakar shasak ko aisa shasan karna chahiye ki kisee ko pata hi na chale ki koi shasak bhi hai Tabhi wh us se darega bhi , us se prem bhi karega , aadar bhi aur pooja bhi Wahi shasan chal paega Wh nahi ki jiska chehra roz savere dekhe aur apne man me use har din badalne- banane ka dambh bhare
*Jinko cigarette nahi pilana hota , ve cigarette chhodne ka updesh pilane lagte hain
*Agar Roos me samya vad safal nahi hua to is par hamare khush hone ka koi karan nahi hai Na yehi hamare prasannta ka vishay ho sakta hai ki bharat me Gandhi vad safal nahi hua Dono ghatnayen dukhad hain Badi cheezen theen manushyata ke hit me dono ke paas dono ko jeewit rahna chahiye
*Vote dene ki mere dwara nishchit prathmiktayen :-1- Dalit stree 2- Dalit Hijada 3- Dalit Purush 4- Stree [kisee bhi jaati ki] 5-Koi dalit Party 6 – negative or for Presidential system 7- Kisi ko bhi nahi

*BHARAT ME HINDU RAJYA
Kya yeh tareeka kargar nahi ho sakta ki jitne hindu hain ,sab apni kaum secular likhne lagen udhar samvidhan secular hai hi Aur is prakar bharat me hindu rajya sthapit ho jaay ?

*Kabhi-kabhi kartavya-vimukhta bhi kartavya- parayanta ka paryay ban jata hai Ban sakta hai , aisa maine samjha Vyavharik ran neeti ke roop me bhi kabhi ise apnana pad sakta hai Anubhav hai ki ati-kartavya nishth vyakti ka parivar atyant aaramtalab, nishchint aur kahil ho jata hai Aise me ydi mukhiya thoda sa apne kamon me dheel de de to karm me anya sadasyon ko jhakh maar kar ruchi leni hi padegi aur ve sakriya ho jayenge Anyatha to kartavya sheel vyakti ke vat-vruksh ke neeche koi karm sheel paudha panap na payega

Janta say Roman

*Janta ko kuchh bhi sochne ka adhikar hai bhale hi uske hit ke pratikool ho
*Gaadi chahe WagonR ho ya Santro ,ya aur koi , unme parne wala Petrol Ek hi hi hai
*Asharf-ul-makhlookat [janwaron me shreshtha] to hai hi , yadi wh ‘aadmi’ hai / [Lekin sabhi nahi , kewal whi jo ‘aadmi’ hain] ##
*Ishwar , bhrashtachar aur plastic bags [condom se lekar balti tak] aadmi ke jeewan se jane wale nahi hain ##
*Hindustan ka hindu bharat me hindu rajya ke liye vidroh- utpat na kare , yeh to bahut achchhi baat hogi Lekin buri baat tab ho jaygi jab hindustan me Islami shasan ke prayas tez ho jayenge [RajKaj]##
*Asafal aise bhi hona hai, Asafal vaise bhi hona hai To kyon na aisi asafalta ka varan karun , jisme kuchh koi prayog kar jaun ! [personal] ##
*Hum galat karte hain ya sahi , apne mann ki karte hain Hum kisi sangathan ke prastav par hastakshar nahi karte [personal]##
*Mere jhagdalu [cantankerous] swabhav ke bavjood kuchh log mujhse mitrata banaye huye hain , apna prem darshaye huye hain , iske liye ve mere dhanyavad ke paatra hain [personal] ##
*Darshan ka kaam hai , ya hona chahiye , jeewan ko halka karna Kabhi yeh tha jeewan ko jaan na Ab jan na bhar paryapt nahi hai ###

*Main vigyapnon ka kisi shddhata vadi drushti se virodhi nahi hun bas baat yeh hai ki yeh saari creativity , creaive vyaktiyon ki personality aur activity ko apne andar samet leti hai jo , anyatha , achchhe kavi , lekhak , sahitya kar , chitrakar , murtikar ban sakte the aaaisa nahiho paya kyonki vigyapanon ke paas akoot paisa hai jiski lalach me log iske haathon apne ko beche huye hain Gyatava hai ki aaj ki saari creativity saari sahityikta vigyapanon me lag hui hai ,aur kala ke anya vidhaon ki maang sooni hoti ja rahi hai } ###
*Jo vyakti vinamra nahi hai , wh sahityakar nahi ho sakta Yeh baat main kathorta poorvak kahna chahta hun ###
*Jitni baar mandir padenge , utne baar sir jhukaoge to gardan tarhi ho jayegi ###
*hindustan ke teen naam to hain hi – India , bharat ,hindustan To fir teen bhashaon me kya aapatti ? ###
*Kisi doosre brahman ko na dekhiye Apne brahman ko dosh dijiye ###
* Jab tumhe koi achchha kaam karna ho aur uski koi logistik ,koi tark ,koi auchitya doondh na paa rahe ho , to uski zimmedari kisi gurujan ,kisi guru granth ,kisi dharm ko sanp do kah do , aisa hamare mohammad saheb ne kaha hai ya ram krishna –gautam buddh-sukrat aadi sankoch na karo ki inki baaten tum kitna jante ho ye sab hamare purkhe hain ,aur zahir hai hamare bhitar baithe huye hain Ye kisi sampraday ke gulam nahi hain , poori manavta ki thaati hain Inke naam ka bahana banane me bhi koi harz nahi hai , khaskar tab ,jab tum koi achchha kaam karne ja rahe ho ,aur tum andar se mahsoos karte ho ki yeh achchha kaam tumhe karna chahiye , par duniya dari ke chalte wh tumhare parijanon ko pasand nahi aa raha hai Unhe samjhane ,apne paksh me lane ke liye apne gujishta vibhutiyon ka sahara lo
Yun iske liye hum apne mata-pita ,dadi dada , nani nana ka bhi hawala de sakte ho Par unhe tarjeeh kam milega bada banner – bada kaam Aage barhkar vivekanand ,gandhi ,gurudeo, nanak ,kabir , ambedkar, marz , raidas ya anya ,kaam ke waajib mahapurush ka bhi hawala diya ja sakta hai Par kaha na , jaisa kaam , vaisa naam Mool baat yeh hai ki achchhe kaam ke liye bhi ab chhadm politics ki zaroorat hai ,jis se tamam log uske samarthan me aayen Kewal apne zamir ka naam loon , to use kaun sunega bhala ? ###
* NOT MY BREAD , PLEASE MIND MY TIME YOU ARE EATING . [a BANNER in my room]
*Jane kaise yeh baat hui, ki mere mann me jitna aadar –sammaan veshyaon [prostitutes] ke liye hai , utna vaisa bhav ksi bhi aurat ke liye nahi paida hua ##
* Brahman ydi dalit ko admi nahi mante , to dalit bhi brahman ko barabar ka aadmi kahan maante hain ?###
*Bharat hindu rashtra hai to saty-vadi, asatyvadi , shantivadi –atankvadi , shah-chor-uchakke hindu na honge to aur kaun hoga ##
*Jaan yeh lijiye ki jo musalman ka virodh karega wh musalman ho jayga Sikh samuday ka to udai hi isee hetu hua tha unka kya hua Kya ve kuchh kam musalman huye ##

*AHSAN MAND
Aj meri kavitaen kuchh pasand ki jati hain To sochta hun iska shrey kisko jata hai ? Ydi main ek aatmvan , Rationalist ki bhanti sochun , to kah sakta tha yeh meri qabliyat ka natija hai lekin nahin mitra , itna dambh –ahankar mat paalo Un dinon ki socho jab tum shuru – shuru me kavitaen likhte the Tab balrampur [Gonda,U.P]ke do varisht kavi –darshanik ne tumhari kitni prashansa ki thee ! Ve aj se chalis saal pahle us umr ke the jis umr me main aaj hun , balki us se bhi zyada Shree Babu Jagannath Prasad ne kuchh manch ke naami kaviyon ko mujhe sun ne ke liye bheja tha Aur Guru Ji Nanak Chand Ishrat “Nishchint ” ne to gazab hi kar diya tha Us umr me unhone meri shaili me pachaas kshanikayen likh daali , aur is mukta kavya –vidha ko manyta di Jab ki wh dridh vyakarneey kavita – geet-ghazlon ke guru the --- Fir Gonda ke sri Laxmi chand Dadda ji ! Kitna shukriya ada krun , jitni prashansa unhone meri kavita –vidha shaili ki kiya Ab bataiye ,ydi in buzurgon ne peeth par haath na rakha hota ,to kya main kavita karna jaari rakh saka hota ? Ho sakta tha lekin nahi bhi ho sakta tha Isliye apne srujan ko apni yogyata na batao nagrik! Unka dhanyvad karo , unka naman karo Unhe yaad karke unko apni kala ki qabliyat samarpit kar do Dhayvad karo ki ve kisi andolan se nahi jude the Mkt kavi-man ke the Koi poorvagrah , koi prejudice unke man me na tha varna ve aj ke samay ki tarah ve kyon mujhe aage badhate ? Main kyon aage barh paata? ###

Yog Kathan Roman

*Yog guru jan ydi shavasan ki mudra me aa jaayn to ka kalyaan ho jaaye ! @

*Shayar logon ko yeh galatfahmi to hoti hi hai ki shayri kewal wahi kar sakte hain #

*[ soochna ]
Haj jane wale bhartiyon ko wahan HINDU kaha jata hai ##

*Mahan [dikhne/lagne wale] logon se milkar bahut utsahit na hon aap ka utsaah ksheen bhi ho sakta hai , us vyakti ke bare me baad me poore jan ne par bade dhokhe hain is kshetra me bhi kaha hai na , har chamakdaar vastu sona nahi hota isliye aise avsaron par apni uttejna thoda apne kabze me rakhen ##
*Main kisi ke ghar jata hun to wahan mez par pade akhbaar se mezban ka shaikshik, sanskritik , mansik star bhaanp leta hun Fir unse usi prakar shishtacharvash baat – vyavhar karta hun Soochna dukhad hai ki mere adhikansh nikat – sambandhiyon ke ghar Dainik Jahran milta hai ##
*kamuniston ke paas unke liye Koran jaisi qitaab to ho sakti hai ,lekin Islaam ki tarah hadees to nahi hai ,jo Mohammed Sahib ke dainik jeewan ke vyaktigat aacharan se sambandhit hai ? Marx-Lenin ka bhi jeewan charitra hai par us shreni ka nahi aise me saamya vad kya khakar Islaam ke samaksh khada hoga ? #
*ydyapi main kahne ko communist nahi hun ,par kamuniston se zyada pro – mazdoor hun kamuniston ka mazdooron ke prati vyaktigat vyavhar se hamara anubhav kuchh santoshjanak nahi hai ##
*Jab sabhi hamse jhooth bolte hain, to main bhi kisi se jhooth kyon na bol doon ki main yumse pyar karta hun? #
*Aap kya zindbi baghaar rahe hain , us se hamein koi matlab nahi hai Aap kya zindgi jee rahe hain , hum wh dekhenge #
*Jitni thakan ki ummeed thi utni to nahi lagi mujhe is kaam me !
*akhbaar apne kiye ka hi fal bhugat te hain Subah se sham tak aur uske baad unki kya gati hoti hai , yesab to jaante hi hain unka dil bhi khoob jaanta hai #
*Mainaapke himmat ki daad deta hun jo is umra me aapne fir ek shadi rachayi , ek naya zahmat mol lene ka sahas kiya #
*Mazdoor wahi hota hai , jiske paas sharir dhan –shram kshamta ke alawa anya koi poonji ya kaushal nahi hota Iseeliye vrshya ko sex worker kaha jata hai #
*Ek aadmi ke mahan ban ne se hazaron logon ko chhota hona padta hai #

यह तो कहिये

0 यह तो कहिए कि बहुत से लोग किसी नीति पर क़ायम नहीं रहते , वरना वे पगला जाँय और उनका हर किसी से झगड़ा हो जाय ।
0 जनता ¿ कौन सी जनता है जिसे आप लोकतंत्र के पक्ष में लाने का दम भरते हैं ¿
0 भुक्खड़ देश में ईमानदारी ¿ पहले भूख का इलाज करो ।
0 अपने प्रायवेट बाथरूम में भी कोई बाल साफ करने का क्रीम खुले में नहीं रखता ।
0 मुझे अब लिखकर रखना पड़ रहा है कि इस उम्र में मुझे अब अत्यधिक सावधानी बरतने की जरूरत है । खाने-पीने में, चलने-फिरने में,सड़क पार करने में । (व्यक्तिगत)
0 मैं बहुत कोशिश करता हूँ गालियाँ उचारने की , लेकिन ज़ुबान गंदा करना मुझसे हो नहीं पाता ।
जबकि , मैं स्वीकार करता हूँ कि मेरे भीतर गुस्सा बहुत है , और मैं जन-जग जीवन से बहुत आहत रहता हूँ । (व्यक्तिगत)
* कामकाजी औरतों की लोग बड़ी आलोचना करते हैं लेकिन वे ज़रा गृह सीमित औरतों का भी तो काम -काज देखें उनके पास आपस में सिवा पंचायत करने और छिद्रान्वेषण - दोषारोपण के अतिरिक्त और काम क्या होता है ? और क्या वह कम अशुभ होता है उस काम से , जो काम काजी औरतें करती हैं ?
* केवल सुन्दरता से काम चल जाता तो क्या था ? ##

Ydi tum Roman kavita

*Ydi tum kahoge
Aur chahoge , aur karoge , ki
Dharm ka rajya ho
To Dharm ka rajya hoga
Fir yeh na kahna ki
Yeh Islam ka rajya kyon ho gaya ,
Ya isayiyon ka , ya Khalsa panth ka
Dharm to dharm
Koi tumhara hi to dharm hai nahi !
Tumne kaha to dharm ka rajya ho gaya ##

*Jab pyas nahi thee
Tab maine pani ke liye mana kiya
Ab pyas lagi hai
To koi pani dene wala nahi #

*Itna likha tab bhee
Tamam chhoot gaya , aur
Prem ki baat to
Abhi likhee hee hahi #
***
*Sab aaram se hain
kewal musalman
pareshani me hain
saari samruddhi
hindu daliton aur
savarnon ne loot lee
manav-adhikariyon se suno –
musalmanon ko kuchh nahi mila
unse sab le liya gaya
sabse alag hain musalman
na we nyay pate hain
na we aatmhatya karne pate hain
sabse bhinn , sabse dukhi
sabse taklif me hai
bharat ke musalman
pareshani me hain
##
Roman Geet
0 – Hogi unki manzil , unki hone do ,
Hongi unki raahen unki hone do :
Hamko –Tumko apne marg banane hain ,
Jiski jo oonchayi , usko chhoone do 0
















pareshani e hain
saari samruddhi
hindu daliton aur
savarnon ne loot lee
manav-adhikariyon se suno –
musalmanon ko kuchh nahi mila
unse sab le liya gaya
sabse alag hain musalman
na we nyay pate hain
na we aatmhatya karne pate hain
sabse bhinn , sabse dukhi
sabse taklif me hai
bharat ke musalman

























*Haan main gyani hun
Kyonki maine gyan haasil kiya hai
Mujhe gyan hai
Kyonki main gyan ko prapt karna chahta tha
Isme duraw , lukaw , chhipaw kaisa
Main jo janta hun , wh main janta hun
Bhali-bhanti janta hun
Us gyan par mujhe vishwas
Adig bharosa hai
Tabhi to bole raha hun ! ##


*Jo kah sakte the
Wh to kaha hi
Is se zyada
Aur kya kahte ! #

*Aap ko vishwas ho to ho ,
Shesh koi aas ho to ho ! [sher]

*TV par
Vigyapanon ke trik aate hain
Bachche unhe asli samajh
Apnate hain ,
Aur janein ganwate hain
Usi prakar kavi log ishwar ke wajood ka
Trik khelte hain
Moodh jan
Unhe vastavikta samajh
Bhajan pooja , pakhand
Karne lagte hain
Apni buddhi ganwate hain

*Main sekularvad
Tab tak chillata rahunaga
Jab tak hamare dharm ka
Rajya sthapit nahi ho jata
Wh aage ki baat hai
Abhi to jai secularvad
Tumhi ho hamare mayi-baap ! ##

*Isme kya ashcharya!
- - -- - - - -- -- - --- - - - -
Isme kaun si khas baat hai
Yeh to hota hi hai –maine kaha
Yaksh ne mujhse whi prashna puchhe the
Whi jinhe yaksh-prashna kaha jata hai
Isee shabd se jana pahchana jata hai
Sadiyon porv , us jigyasa-katha ko
Haan ,log marte rahte hain
Fir bhi sochte hain we amar honge
Isme kaun si khas baat hai
Yeh to hota hi hai
Wh us samay ki baat thee
Jab yeh ashcharya ki baat thee
Ab to ashcharya ka prashn yeh hai ki
Itni dawaon ke bawjood
Aadmi marte kyon hain ?
Aur yeh bhi ki ,
Izzat ke liye itne
Premiyon ki hatyaon ke bawjood
Tajmahal khada kaise hai ?
Wh kanpta , thartharata , rota-chillata
Mar kyon nahi jata ?
Haan Yaksh ! ab duniya ke GK me
Yahi gyan hai ki
Tajmahal vishwa ka
Saatwan ashcharya hai ##


*[Radeef]-wah kya! Or wah kya baat hoti ! e.g=
Zindagi itni saral hoti wah kya !
Zindagi itni saral hoti wah kya baat hoti !
*Yeh koi
Shok sabha nahi hai
Jo prastav
Nirvirodh , sarvsammat
Parit ho jaye
Yeh manav ka mann hai
Uska buddhi – vivek
Uski bhavna ka ghar hai
Isme apni baat
Darj karne ke liye
Intzar karna padega
Aur apni baaton ki
Ragad ghiss karni padegi
Resha –resha kholkar
Dikhana samjhana hoga
Janta janardan ko ##

Ladayi Roman

*ladaayi yahan hai Ve ,
Janglon me hain

*dhoop ka hona to ek bahana hai ,
Dar asl kujhe chhat par aana hi nahi hai

*horses bench kar soye raho ,
Kalpana-lok me khoye raho

*Nirutsah mat ho magar utsah me kami rakho ,
Jo giroge to zara chot to kam aayegi

*Desh ko kuchh ho gaya to , aap zimmedar honge ;
Khoon iska jo piyenge , maut ke haqdar honge

*Prabhu ki sharan me jao
To aise jao
Kisee sampraday me na jao ##

*Bahmanvad ka dosh is desh par hai
Nazivadi visheshan se navaze loge
Bhi is desh me hain
Samantvad , nawaabiyat ka aarop
Bhi yahin ke logon par hai
Samrajya vadi hone ka khitab bhi
Is par lagne laga hai
Andhvishvasi , kayar ,kaamchor
To ye kab ke hain
Bhrasht, ghooskhor ,soodkhor
Ye hain hi
Hatyare ,daku , balatkari hona to kitna
Adalton ke nirnayon se siddh hai
Sampradayik , burzuoise bhi
Kahaane lage hain hum
Atankvadi ,aur fir naye-naye
Maovadi bhi hum shauk se hain ;
Kya to nahi hain hum ,is desh me !
Yeh desh hai ya
Koi apradhiyon ka maha – adda
Isee ko chhipane ke liye hamara naam
Vishal jantantra hai ##

*Reedh ka farz hai
Kuchh der tane rahna
Kabhi , patthar
Uthne ke liye
Jhukna ##
*Jab tak mann ho , sota rahta ,
Jab mann hota , tab jag jaata
*[misra-e ula ] – Unke theek barabar hun main , kuchh antar ke saath
*Wh to tumhe
Gulam banana chahta hai
Aur tum use
Azad karna chahte ho ! #
*Yun sare-sham tum yad aaye mujhe
Kab subah ho gayi kuchh pata hi nahi #
*Tere aane me thodi der huyi
Wh jalkar khaq ho gaya ab to #
EK KURSI BEECH ME
Wo pakke dost the jab tak nahi thi ek kursi beech me ,
Jan ke dushman bane jab aa gayi ek kursi beech me #
*Kabhi hum yun hi hye dher hain sadkon pe, nalon me,
Hamara nam bhi aa jaye sharab pine walon me #
*Kuchh mat kaho nagrik ji ,
Khush- khush kaho nagrik ji #
*Bhojya kuchh achchha nahi laga , mujhko kya hua ?
Aaj maine kuchh nahi khaya hai , mujhko kya hua ? #
*Apna-apna swarth hai , apna-apna hitt,
Chulhe me ya bhad me jaye vishwa nihitt [doha] #
*Zindgi bhar
Pyar maine kiya
Palkiwala aaya
Le gaya #
*Sabko adhikar hai
Sabki himmat hai
Prajatantra me
Khoob boliye
Aur fir
Paani pee-pee kar
Kosiye
Prajantra ko ##
*Koi ladayi
Aazadi ki ladayi nahi
Ek gulami se
Doosri gulami ##

Pyar Roman

*Pyaar aur baat hai
Saath rahna aur baat
Jinke saath hamen rahna hai
Un sabse hum pyaar to nahi kar sakte
Dunia ke har pranee , ek-ek manushya se
Par saath to rahna hai
Kyonki saath rahna hai
Bhale apni patni , maan-bahan ,beta-beti ki
Trah se poore taur par nahi
Wahi saath rahne ki kala chahiye hamein
Wahi democracy hai
Democracy kewal rajya ki neeti hai
Wh ek jeewan kavya – kala hai
Lok jeewan de deejiye
Uska sanskrutik naam
Iske aage pyaar thoda seemit
Sankuchit , vyaktigat jaisa
Lagta hai mujhe
Swaarthi aanand bhakti yatra
Par lok jeewan to
Sampoorn shrushti ka aanand hai
Chaliye , ise jiya jaaye
###

*Kaam to karenge
Chahe chori se karni pade
Chahe iimandari se karni pade
Hum kaam zaroor karenge
[ambiguous poetry]

*MAIN TO JAAGTI
WH BHI KAHAN
SOYA HUA


*Jane wh din kab aayega ,
Chakshu tera darshan paayega

* Vedmantra
kanon me padte hain
jaise
jalta huwa seesa

*Kuchh to farq hoga
Mujhme , aur
Us aadmi me
Jo main nahi hun !

*Tarakki hoti hai
Bahar ki ladki
Vyah kar ghar lane se ,
Sanskrit Pati,
Angrezi bahuriya se
*Mujhe pata hai
Too kahan chhipa hai
Lekin tujhe
Dhoondhne ka natak
To karna hi hai mujhe
Zindgi ke aais – paais khel ko
Manoranjak , ruchikar
Banane ke liye !
*Ve dono aapas me
Aise batiyate hain
Maano un dono me
Sachmuch prem ho !

*FIVE WAYS :-
1- brahman na hote
To main dalit kaise hota
Aarakshan ka paatra ?
2- BRAHMAN HAIN
Tabhi to main
Dalit hun
Aarakshan ka paatra !
3- brahman nahi hun
To main
dalit hi kyon hoonga
Aarakshan ka paatra ?
4- haaye !
Brahman na honge
To main dalit
Kaise hoonga
Aarakshan ka paatra ?
Atah,
jai hai he manu maharaj
Jug-jug jiyo
Hum mode payen
5- us janam me brahman
Is janam me dalit
Malaayi hi malaayi

Kya aaj Roman

*Kya aaj ki kavita
Samajhne ke liye
Koi prashikshan
Lena padega
Kisi sansthaan me ?
###
*Aap ne theek se socha nahi , is mas ale par,
Isliye kuchh aayn, kabhi baayn – saayn bakte hain
[sher]
*[mazal]
Yeh likha hai , who likha hai , Log kahte hain ;
Dharm granthon me likha hai , Log kahte hain
Kya likha hai ? kya likha hai ? puhhte hain hum ,
Dekhiye yeh bhi likha hai , Log kahte hain
*Aurat purush ko
Janm deti hai ,
Purush , aurat se
Balatkar karta hai
Aurat fir , purush ko
Janm deti hai
##

* LEN – DEN
Nahi main len –den me
Poora vishvas nahi karta
Kewal dene tak
Seemit rakhta vyavhar
Ab , ydi koi lene wala hoga
Tabhi to main dene wala hunga ?
Bas usee len ko
Main deta hun sthaan
LEN - DEN mein ###
*Main tumse
kuchh mangta nahi
to main tumse chhota
kaise ho paata ?
jo main chahta hun-
tumse chhota hona
main tumse mangta hun
tumhara chhutpan
jis se tum bade bane raho
bade rah pao
###
* Mujhse
Bhool jane ko kahte ho
Aur khud
Mujhe yaad rakhte ho ! ##

* Meri pareshani
yeh hai ki tum
meri tarah kyon nahi
sochte , uthte –baithte
sote –jagte , likhte –parhte ?
tum meri baat maante kyon nahi ?
###
* Kya zaruri hai
Saath rahne ke liye
Prem karna ?
Prem karne ke liye
Saath rahna ?
###
*DUNIA ME
bahut keemti kavitaen
bade wazandaar vichar hain,
Mere Satyabhama ke paas
Bas ek Tulsi dal hai
###
*Use kya pata tha
Ki main musalman hun ?
Usne mera pair chhoo liya
Mera kya chala gaya
Wh meri duwayein le gaya
To mera kya ghat gaya ?##

*Paar utarna [utrna ] hai
Ya, paar utarna [utaarna] hai
Dono ek hain
Roman lipi hindi me #

*Sawaar hone deta hun
Apne pagalpan ko
Apne upar
Koi din , koi raat,
Is se rakshas
Paas nahi fatakte

Dhool Roman

*DHOOL MERE PAIR KE NEECHE ‘
KINTU ,SAR PAR DHOOL TERE PAAON KA #

*Todne chala to
Toota to kuchh nahi
Jo ban na tha wh bhi na bana ,
Banane ki thaani
To kuchh bana bhi le gaya
Aur jo kuchh rootna tha
Wh toot bhi gaya #

*Vakya sare – aam hona hai ,
Mulk ko fi gulaam hona hai #

*Kaash mujhe gaana banana aata ,
Kaash mujhe gaana gaana aata #

*Bahut dhoondha magar mujko na mila ,
Tumhe kaise mila tinke ka sambal ? #

*Mai kis se kahun
Batti bujha do
Mujhe neend aa rahi hai
Main sona chahta hun ? #

*Kar tab kha ‘
Sarkaar jab
Kar leti hai to
Mantri gan
Khayen kyon nahi
Kar ka paisa ?#

*Lantaraniyan
Ya parhayi – likhayi
Kaam na degi
Kaam dega to Aayu ka anubhav
Gyan bhandar #

*Taari hai andhkaar fir chashma laga ke kya ? [samasya poorti]

*Bahut mushkil na hoga kaam , yeh to socha tha ,
Itna aasan hoga kaam , yeh na socha tha

*Muafi mangni hai , wh to unse mang hi lunga ,
Magar pahle zara kuchh ghaltiyan sampoorn to kar loon !
###
*Ab to hame wh pata hai
Jo gautam buddh ne gyat kiya
Kabir- Mahabir, jo khojkar de gaye
Newton Einstein ne
Jin kudarti niyamo ko
Doondh kar nikala
Ab hamari samajh me nahi aata
Ki hum unke samay ke poorv ki
Agyan-avastha me kyon hain ?
Kyon nahi hum aage barhte
Wahan se ,jahan ve poorvaj-mahapurush
Hame chhor kar gaye the ?
###
* Qafiya jiska nahi mila, Radeef hi use bana liya ,
Jiska tha koi na aasra , raqeeb hi use bana liya

*Zyadah bata dete hain
Paise rikshe wale
Kya karen ,
Dena parta hai
###

*Main kitabon me
Nahi jaunga ,
Kaapiyon me
Rah jaunga
###

*Bahut likhte ho
Samaj ke liye ,
Desh ke liye ,
Vishva ke liye,
Antariksha ke liye ,
Thoda kuchh
Apne liye bhi likho
###

Saara Pyar Roman

*Saara pyaar bikhar to gaya
Pa alag , ya alag, ra alag ! ##

* Ab sochta hun
Kitni mamuli si baat thi
Unse milna , unhe ek nazar dekhna
Aur main jeewan bhar unka ho liya ‘
Ab sochta hun
Kitni sadharan sthiti me
Ghati thi wh ghatna ya durghatna
Jo itni asadharan ho gayi
Mere jeewan ke liye !##

*jeewan uske haath me
Mrityu bhi uske haath me hai ,
Lekin iske beech me
Manushya kee zindgi
Uski shaili , uska swasthya ,
Uski shiksha , uski sanskriti ,
Uski raajya vyavastha ,
Uska parivar , uska itihaas ,
Agli peerhi ka bhavishya ,
Wh bhi poora nahi to ,
Kuchh to uske paas hai ,
Manushya ke haath me hai ##

*sher :
Achchha to hai, agarche aisa ho ,
Aadmi yeh tamam achchha ho #

*sher :
Bhool chuke hain zyadatar to ,
Yaad abhi bhi zyadatar to

Roman kavita

*Jo hame pasand hogi
Usi ko to gale lagayenge
Neeti ho ya rajneeti
Ya koi ladki ! ##

*Charo ore se hamle honge
Tab koi teer talwar
Kaam na aayega ,
Kewal ek hathiyar
Bachega tumhare paas –
Bum ka,lekin wh
Aatmghaati bhi to hoga ?
Kuchh logon ke saath
Kya tum taiyar ho marne ke liye ?
Ya fir apni zid chhod do
Vishva vijeta ban ne ki
Tumhare upar hamle
Hone hi wale hain ! ##

*Pata nahi , dost
Maine theek kiya ya galat ,
Lekin jo kiya wh
Theek hi kiya ,
Jo nahi kiya
Wh galat ths ###


*Main baten karne lagta hun
Jab mere paas
Kahne ke liye
Kuchh nahi hota ##

तुम्हारा ही पत्थर

*तुम्हारा ही पत्थर है
तुम्हारी ही छेनी हथौड़ी
तुम्हारी ही मूर्ति है ।

0 बड़ी मुश्किल से
भीगने का
मौका मिला था
उसने
छाता उढ़ा दिया ।

0 साँप , कोई ज़रूरी नहीं
कि काटे ,
उसके काटने का भय भी
आदमी को
मार सकता है ।

0 इसीलिए
कमाई खूब है ,
क्योंकि मँहगाई
बहुत है । (सं-पीपली लाइव)

0 भेड़ियाधसान है
सरकार बनाने के लिए
मतपत्रों का डाला जाना ,
भेड़ियाधसान ही है
सरकार के खिलाफ़
आन्दोलन किया जाना ।

0जब मैं
बाजार के लिए
निकलता हूँ
मैं ठगे जाने
लुट पिटे जाने
के लिए
तैयार रहता हूँ । 0

0* अभी कुछ कहने की मेरी तो बारी ही नहीं आई ,
न जाने क्या हुआ वह बीच में उठकर चले गए ##

0 (गीतारंभ)
यह सब द्वंद्व चला करता है ।
कभी नाव गाड़ी पर होती
गाड़ी कभी नाव पर होती,
कभी पुलिस पीटती हमें तो
कभी पुलिस हमसे भी पिटती,
हनन हंत होता रहता है ।

कभी सड़क पर कोई लड़की
बलात्कृत निश्चय ही होती,
कभी छेड़खानी का वह तो
झूठे भी आरोप लगाती ,
यह स्वच्छंद हुआ करता है ।

कोई मुनि दधीच दानी तो
अपनी हड्डी तक दे देता ,
कोई भक्त जनों को छलकर
उसका तन-मन-धन ले लेता,
फिर भी संत बना करता है ।
(कृपया इसे पूरा करें)

*गलती मेरी है जो
उधार माँग लिया ,
गलती मेरी है जो
उधार का तकाज़ा कर दिया ##

* बड़े कवि बड़े कवियों को
और आगे बढ़ाते हैं
जिससे प्रशंसित कवि
प्रशंसक कवि को
और आगे बढ़ाए
ऊँचा उठाये
बड़े कवि
बड़े बनते जाते हैं
कविता क्या होती जाती होगी ? ##

नैतिक साहस

0 मुझे गलत समझा जा सकता है , पर मै एक छोटा आदमी विवशतः यह मानता हूँ कि मैं व्यक्तिगत तौर पर ही ईमानदार हो सकता हूँ , किसी अन्य को ईमानदार होने के लिए विवश नहीं कर सकता । हाँ,यह काम नैतिक संत, समर्थ शिक्षक, सक्षम अधिकारी अवश्य कर सकते हैं । जैसे मैं अपने वकील से नहीं कह सकता कि मेरी फीस को ईमानदारी से इनकम टैक्स रिटर्न मे दिखाओ । मेरे पास इतना नैतिक साहस नहीं है कि डॉक्टर से कह दूँ मेरे बच्चे को कुछ भी हो जाय मैं तुम्हे कोई पैसा नहीं दूँगा । मैं तो पोस्टमैन तक को होती-दीवाली की त्योहारी माँगने से मना नही कर सकता । इत्यादि- इत्यादि- इत्यादि । इसे दैनिक जीवन के अनुभव से समझ सकते हैं ।इसे कृपया केवल दिमाग से नहीं, उसमें अपना दिल भी जोड़कर सोचें । नैतिकता नितांत निजी मामला है , और ईमानदारी नैतिकता से संबंधित है। इसलिए ईमानदारी निजी नैतिकता है ।

* मैं उस स्थिति की कल्पना करता हूँ जब मुसलमानों की वैज्ञानिकता के प्रस्ताव को स्वीकार करके सभी पुरुषजन खतना करवाने लगें तब मुसलमानों की अलग पहचान की दृढ़ता का क्या होगा ? तब वह कोई और अंग -भंग करवाने की तो नहीं सोचेंगे ? ##
* Education means - only conditioning
इसे भले शिक्षा न कहकर दीक्षा के नाम से पुकार लें पर इस से कोई फर्क नहीं पड़ता सामान्यतः इसे शिक्षा ही कहते हैं अभी चलने दीजिये नई शिक्षा, स्वतंत्र विकास आदि की बातें अंत में वहीँ पहुंचेंगे जहाँ इस्लाम और गुरुकुल के तरीके बहुत पहले पहुँच चुके हैं वही कि बच्चे गीली मिट्टी होते हैं उन्हें समाज के अनुरूप -अनुकूल ढालना ही शिक्षा का काम है या -Children can not be made good by making them happy , but they can be made happy by making them good " बस यही 'good' बनाने का काम समाज और शिक्षा हर युग में करता रहेगा अलबत्ता अच्छे की परिभाषा समय के अनुसार बदलती रहेगी जैसे "Spare the rod and spoil the child " समाप्त हो गया पर चिंता की बात है कि खुली छूट के युग में युवा को युग के साथ ढालने की ज़िम्मेदारी भी संस्थाओं से गायब हो रही है और राजनीति द्वारा गायब करायी जा रही है और विषम स्थिति यह कि हम इसे रोक नहीं सकते तो , अब प्रस्ताव यह है कि केवल अक्षर ज्ञान , साक्षरता को ही शिक्षा मान लिया जाय और बच्चा अपने बल बूते जो जानना सीखना चाहे स्वयं सीखे उसे कुछ बनाने का छद्म न हम पालें न वे वरना हम तो चाहेंगे कि बच्चा मेरे कहे से नैतिक बने राज्य उसे मानव संसाधन में ढालना चाहेगा धर्म कुछ और चाहेंगे और इसको लेकर संस्थाओं में खींचतान चलता रहेगा ##


* हिंदुस्तान की जिस विविधता का गुणगान किया जाता है , वह हिन्दुओं के अन्दर का है जातियों -उपजातियों ,विश्वास -उप विश्वास , दर्शन -उपदर्शन ,रिवाज़ -अनु रिवाज़ के रूप में इसमें इस्लामी समाज यदि शामिल न भी किया जाय तो भी कोई फर्क नहीं पड़ेगा वे इसमें शामिल भी नहीं हैं अलबत्ता इस खिचड़ी में वे भी शामिल होने का नाटक करके सहभोज का मज़ा उठा रहे हैं ##

* कैसे कह सकते हैं कि अंग्रेजी छा रही है ? लखनऊ में पहले मेफेयर और ओडियन सिनेमा घरों में केवल अंग्रेज़ी फिल्में चला करती थीं ज़ाहिर है उसे देखने , सुनने , समझने वाले काफी संख्या में लोग थे अब ये दोनों चित्रशालाएँ बंद हैं ##

Thoughts in Roman

*prem vivahon ka report card kuchh utsaah vardhak nahin hai ve bhi sambandh dho rahe prateet hote hain isliye main sochta hun ki chahe prem vivaah ho ya pandit vivah , jatiya ho ya antarjatiya , vivaah arranged yani , mata-pita ki sahmati se hona chahiye aur mata-pita ko bhi chahiye ki ladke – ladkiyon ki chahat me zyada chun-chapad na karen usme kewal apna anubhav joden na ki dakiyanoosi vichar ##
*Kuchh log rajneeti me naujawanon ki badee bhumika bakhaan kar rahe hain Pahla nishkarsh to yeh ki ve swayam boorhe ho gaye hain Varna jawan to vahi ,jo apna kaam doosre jawan par na chhode To ,ab ydi ve sachmuch iimaandar hain to, kam se kam unhe rajneeti to chhod hi deni chahiye Fir naye jawan uska jo chahen karen ##
*Swarg ka swapna hi sabhi ne diya , lekin swarg kisi ne nahi diya Chahe Hindu-Islaam ho ,ya koi rajneetik vaad ya koi raja - rani Fir iske liye kisi ko doshi man na nirarthak ho jata hai
Ek baat gaur karen Dhani musalmaan bhi apne gharon me naukar ya mazdoor – mistry lagane me aksar musalman ko hi chunta hai Zahir hai ve musalmaan deen –heen hi hote hain Par na to ve apne maalik ka gala kaat te hain , na mohammed Sahib ki kameez faarte hain Iske vipreet hindu mazdoor kya kar rahe hain ? wh maanta hai ki brahmanvad uski deenta ka karan hai Ydi yhi baat hai to musalmanon me iska kya kaaran hai ? Kah sakte hain –wahan bhi brahmanvad hoga par wahan to dono miljul kar rah rahe hain ! Ab inhi haalat me ydi kuleen, dhanadhy hindu apne karyon ke liye dalit ya gareeb hindu jaatiyon ke paas na jayen , to aur kiske paas jaayen ? ## *Yeh ek jantantra premiyon ke beech bada bhram hai ki gramya jeewan bahut sunder hota hai , gramin jan atyant bhole , gareeb bade masoom , bicycle wale nireeh , paidal yatri dayneeya hote hain –etc lekin aisa hai nahi Anya muddon par to tamam log rajneeti kar rahe hain Hum kewal yeh baat uthate hain ki padal aur cycle se chalne walon ki laparvahi ke karan anek durghatnayein hoti hain , aur unhe kamzor maan kar chhod diya jata hai Sadak ke niyam ullanghan karne wale aise logon ka bhi chalan hona chahiye aur zurmana lagna chahiye #

शनिवार, 24 सितंबर 2011

सांस्कृतिक अनुसंधान

* ईश्वर मानव जीवन क एक महान झूठ , महा पाखंड , बनावटी फूल और आतिशबाजी है , जिससे जीवन को सजाया संवारा तो जा सकता है , लेकिन आतिशबाजी अक्सर बम बिस्फोट में बदलती है- नरसंहारक । #
* ईश्वर मानव सभ्यता का एक सांस्कृतिक अनुसंधान है । ईश्वर की अवधारणा विज्ञान से आगे की चीज़ है । वह धर्मों की पहुँच के तो बाहर ही है । #
* God is a cultural invention of human civilization . It's philosophy is little ahead of science . It is beyond the reach of religions . #

जन लोकपाल बिल

१ - ईश्वर एक जन लोकपाल बिल है । जिसने इसे मान लिया , वह इसमें फंस गया । जिसने नहीं माना , वह मुक्त हो गया । #
२ - ईश्वर एक राजनीतिक उम्मीदवार है । इसे वोट दोगे तो यह जीतकर तुम्हारे ऊपर कहर ढाएगा । अतः "इनमे से कोई नहीं " का बटन दबाव । #
३ - देखिये , हम नागरिक जन , राजनीतिक प्राणी हैं । राजनीति में ईश्वर और धर्म का प्रवेश अच्छा नहीं माना जाता । #

ईश्वर की नहीं यार

*Is gyan me
Nahi shamil mera
Koi bhi gyan .

*Ho sakta hai
Hamari aazadi hi
Mana de daas
Punashch , barambaar
Hum sabko
Le beete ek din
Atishay ki
Hamari swatantrata
Humko fir .

* God is a confusion , an illusion , imagination of mankind . It may lead to some cultural happiness , but not to material sciences. #
* ईश्वर मकडी के जाल के समान है , जिसे मनुष्य खुद बुनता है और उसमे खुश रहता है । #
* ईश्वर की नहीं यार , आदमी की बात करो । #

रोमन हाइकु २८

*Tamam bheed
Sadak kaat rahee
Sahi galat .

*Hum apne
Sharir ke gulam
Hain to zaroor .

*Antar nahi
Isliye ho gaye
We antartam .

*Tumhara sparsh
Vidut ka pravah
Jiwan bhasm . [or]

*Tumhara chhona
Vidut ka bahna
Tan jalna .

*Jahan manav
Wahan maila , to kahan
Hai maila –mukti .

*Jo soch leta
Wh kar dalta
Jo karmveer .

*Bahut cheezein
Hum nahi jante
To theek hi hai .

*We isliye
Rashtr-prem karte
Ki use we le lein

*Swarth sochna
Sach na bole dena
Haani paaoge .

*Turning truth
Into more truth
Be our [my] goal .

*Paise se taula
tulta chala gaya
har aadmi .

*Koi tarika !
Na ho vyakti ki hatya
Mujhe batao .

*Kam ke ghante
Barhe , lekin shram
Ki matra ghati .

*Tum mile ki
Akarshan samapt
Tumhare prati .

* Jisne dekha
Dekhta rah gaya
Tumne dekha ?

*Woh hawa thee
Jisne mujhe chhua
Ya ki tum the !

*Myth tootega
Abhi to rahne do
Tab tootega

*Kuchh bhi kiya
Saarthak – nirarthak
Usee ne kiya

*Rakho to poora
Vishwaas rakho, nahin
To nahin rakho

*Sikka jamana
Kya matlab hua
Raja ho jana .
***
*Some Times
Secret is Sacred
Open Bad.
***
*Paryapt Hota
Bahar se Sharif,
Sabhy Dikhna .
***
*Asharful
Makhlookaat nahi hoon
Jo aintha rahoon.
***
*Kam bolna
Jyada banata baat
Badbol se . [ apekshakrut],[banisbatan].
*Aaj dard hai
Badan me to hai hi
Dil me bhi hai .

*Uljhan hai
Sharir ko dekhun ya
Man ki sunoon.

*gaon se zyada
Gaon ke aadmi ki
Padi hai mujhe .

*kya kar lete
mera koi sambandh
ydi hota bhi ?

*kaise khatm ho
Sambandhon ki jadta
Iski chinta .

*is dukh se
Nizat koi nahi
Sirf sahna .

*Bas thodi see
Sadhna ki kami hai
Baki theek hai .

*Shadi banao
Prem karo , na karo
Naam nibhao .

Bharosa chhodo
Ab to kisi kaa bhi
Wah bhi nahi .

Priya hain mujhe
Chhoti chhoti nadiyan
Taal talaiya.

Khatra bani
Khyaati meri jaan ki
Achchhe bhale the .

Kar to chuke
Upbhog tan ka
Kya chahte ho ?

रोमन हाइकु 29

*jisne parha
Usi ne achchha likha
Mai kya likhunga !

*ladi jaungi
To main bhi lad loongi
Barabar se

*bhaiya namaste
Usne , maine kaha –
Namaste bhaiya

*kalakaron ke
naam hi naam bhar
sahitykaron ke
*jo mil gaya
Wh mitra ho gaya
Bhinn/ abhinn

*khoob hai unhe
Manhgayi ki chinta
Jo bhare- poore

*tanee hai patni
Patit patidev
Bhent kaise ho ?

*Sarkar se
Ladna aasan hai
Andhvishvas
Jo janta me vyapt
Un par to
Ungli uthane me
Nani marti
Jan kary kartaon ke
Ladna door

*Keechad me hun
Lekin kamal hun
Behtar hun



*Keechad to hun
Kamal ke neeche hun
Yeh achchha hai

*main to kuchh bhi
Nahi kar sakta
Asahaay hun

*Mahatwpoorn
Hun, lekin tumse
Zyada to nahi

*Gyan milna
Mujhko ya tujhko
Baqi hai abhi

*Unka kaha
Theek ho jaoge
Meri hai dawa

*Poora karte
Ishwar ka aadesh
Communist bhi

*Ghatak bani
Meri samajhdari
Atishay ki

*Kise fursat
Hansne –hansane ki
Jatil wakt

*Tutpunjiyon ke
Paas kitni poonji
Kuchh pata hai

*Manushya mare
Maut mandrati hai
Siyar par

*Job na mile
Degree kis kaam ki
Pratiyogita

*Mahapurush
Pahchane jate hain
Mrityoprant

*Mrityu se poorv
Lakshan aa jate hain
Mar jane ke

*Bahut mila
Mujhe mere haq se
Bahut zyada

*Koi bhi kaam
Har koi aadmi
Kar sake hai

*Ab to koi
Paas bhi aata nahi
Kis se kahoon !

*Saal me ek
Baar nishkasan to
Bank ki neeti

*Mann me aati
Kitni buri baat
Bahut buri

*Nagrik jee
Bahut bole liya
Chup ho jao

*Chaploosi to
Kaam nahi karti
Pragya ke aage

*Mera ho , tera
Sab hari ka naam
Sabka naam

*Facebook me
Akarshak lagte
Kuchh chehre

*Nahi nahata
Kabhi naha bhi leta
Jade ke dinon

*Shoshan nahi
To samriddhi bhi nahi
Sadhu nirdhan

*Paise na hon to
Na patni na premika
Koi na saath .

*Sandeh hai to
Satya bhi sambhawit
Hoga hi hoga .

*Kaisi to haya
Khulepan – yug में
Kaahe ka sharm !