रविवार, 25 सितंबर 2011

amb say Roman

*Ambedkar ne kaha –main hindu paida hua ,yeh mere vash me nahi tha Lekin hindu marunga nahi ,yeh mere vash me hai Aisa hi ab daliton ke vash me hai ki wh dalit ke roop me na mare Lekin sarkar ne [Ambedkar ne nahi ] aarakshan roopi swarn mrug ko aisa daudaya hua hai ki ab dalit na kewal swayam dalit ke roop me marna chahta hai balki apni peerhiyon –dar-peerhiyon ko bhi dalit hi banaye rakhna chahta hai
* Kaise kah sakte hain ki daliton me Raj vargeeya Saundarya chetna nahi hoti ? Myavati dwara Lucknow kea sundarikaran drishtavya hai

* KYA KARAN HO SAKTA HAI ? Hindu apne bachchon ko hindu banata hai musalman apne bachchon ko musalman banata hai Aisa hi Sikh ,Iisayi, Parsi vgairah bhi Lekin communist apne bachchon ko America bhejta hai

* VISHISHTA MANUSHYA HI SADHARAN INSAAN HO SAKTA HAI .

* JO BHASHA HINDUSTANI AADMI BOLE DE WH HINDI HO JAATI HAI .

* LOVE MARRIAGE ka bukhaar tabhi utrega jab marriage ke baad , atirikt/ extra love ki gunjayish / chhoot dee jayegi

* Jab shikshak , abhibhavak pitayi ko theek samajhte the , tab unki pitayi se chhatron ki jaan nahi jaati thee Ab ise ve bura samajhte hain ,to bachchon ko itna peet te hain ki unki jaan nikal jaati hai

* KRANTI BAHUT BADI CHEEZ HAI . Badi doorgaami , dhairya –aakanchhi communist ise sambhaal nahi payenge
* Yadi nark me rahne ki tumhari himmat hai to tum sansaar me sukhi rah sakte ho

*Jhooth to mainaisa bolta hun , jaise GANGA-JAL

*DO NOT CREDIT YOUR BIRTH TO GOD AND NEVER BRING DEATH TO YOUR LIPS .

*ALWAYS KEEP YOUR BALANCE OF MIND , nagrik ji !

* Jis desh ne ANGULI MAAL jaise logon ko dekh rakha hai , wh bhala aatank vadiyon se kyon darega ?

* Mere uderstand me yeh nahi aata ki hindu aatank vad par log itna achambhit kyon hain ? aur kuchh log is se inkar kar , apna palla kyon jhadte hain ? fir bhi ve hindu neta kahate hain , aashchary to yeh hai Kya maoist hindu nahi hain ? gin lijiye , ktne musalman honge nepal me to poora ka poora raajya hi maoist shasan me convert ho gaya fir bhi hum kahte nahi thakte ki hindu aatankvadi nahi ho sakta

* Angrezi to ho gayi hai hindustaniyon ke pant- kameez ki tarah na wh chhodi jaati hai ,na yeh utaari jaatee

*Buddh ka samanya-kathan na maano buddh ka vishisht kathan maano OR/ Buddh ka kahna na mano Buddh ka kahna mano [ambiguous? No, very clear]

* Kya karan hai ki , angrezi ke pathak kam se kam ‘letter to editor ’ to dhang se likh lete hain ? Hindi ka pathak to wh bhi nahi likh paata

* Log kahte hain – aabadi barhi hai mujhe to kahin nahi dikhti doctors ki kitni sankhya hai bhala desh me ? kya wh paryapt hai ? fir aabadi kahan barhi ?

*Yogi to sachmuch wh hai jo 20 Rs pratidin me guzara kar raha hai
*Aajke naxalvadi poorvjanma ke musalman hain ve apne dharmik aadesh ka paalan karne ke uddeshya se Cheen desh ko gaye the bas wahin unhone maovaad ki shiksha –deeksha paayi ##

*Meri samajh me ek baat nahin aati ki hum vichar karte hi kyon hain, itna saare pushta ,sudrurh vicharon aur siddhanton ke hote ? ##

*Jo aayu nahi ginte , ve lambi umra jeete hain ##

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें